ghat
raat kī thī tanhā.ī
ḳhāmoshī kā Derā thā
so.e so.e pattoñ par
dard kā baserā thā
āñsuoñ kā gherā thā
duur jab saverā thā
aise sard mausam meñ
raat ke jhamele meñ
kho ga.e akele meñ
do diloñ ko milnā thā
jhiil bhī akelī thī
chāñd bhī akelā thā
raat ki thi tanhai
KHamoshi ka Dera tha
soe soe patton par
dard ka basera tha
aansuon ka ghera tha
dur jab sawera tha
aise sard mausam mein
raat ke jhamele mein
kho gae akele mein
do dilon ko milna tha
jhil bhi akeli thi
chand bhi akela tha
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 484)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.