ghamanD
mauj-e-havā ko ab ḳhabroñ ke daam se bhī chhuT jaane do
gahre dhueñ aur gard ke bādal meñ
kāġhaz aur ret ke zarre
aadhe sach ke saath chimaT kar
ab ghar ghar tak aa pahuñche haiñ
apnī sāñseñ rok rahe haiñ
bain sunānā
shor machānā
ḳhaak uḌānā kab tak
kab tak ye sab ko dhamkāna
tum bhī sabr karo
jabran ḳhud ko kyā mazlūm banānā mumkin hogā
tāqat-var ho
apne ghar tak
sachchā.ī insāf mohabbat ke qaa.il ho
lekin ghar se bāhar āñkheñ saath nahīñ haiñ
kabhī kabhī yuuñ bhī hotā hai
ye likhā huā hai
jab hāthī kī suuñD meñ ghus kar
chyūñTī aafat ban jaatī hai
ek ġhulail se
david
goliath ko maar diyā karte haiñ
had se jab ūñche ho jaa.eñ
qasr girā karte haiñ
mauj-e-hawa ko ab KHabron ke dam se bhi chhuT jaane do
gahre dhuen aur gard ke baadal mein
kaghaz aur ret ke zarre
aadhe sach ke sath chimaT kar
ab ghar ghar tak aa pahunche hain
apni sansen rok rahe hain
bain sunana
shor machana
KHak uDana kab tak
kab tak ye sab ko dhamkana
tum bhi sabr karo
jabran KHud ko kya mazlum banana mumkin hoga
taqat-war ho
apne ghar tak
sachchai insaf mohabbat ke qail ho
lekin ghar se bahar aankhen sath nahin hain
kabhi kabhi yun bhi hota hai
ye likha hua hai
jab hathi ki sunD mein ghus kar
chyunTi aafat ban jati hai
ek ghulail se
dawid
goliath ko mar diya karte hain
had se jab unche ho jaen
qasr gira karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.