ghar
ab maiñ ghar meñ paañv nahīñ rakhūñgā kabhī
ghar kī ik ik chiiz se mujh ko nafrat hai
ghar vaale sab ke sab mere dushman haiñ
jail se miltī-jultī ghar kī sūrat hai
abbā mujh se roz yahī farmāte haiñ
''kab tak merā ḳhuun pasīna chāToge''
ammāñ bhī har roz shikāyat kartī haiñ
''kyā ye javānī paḌe paḌe hī kāToge''
bhaa.ī kitāboñ ko rotā rahtā hai sadā
bahneñ apnā jism churā.e rahtī haiñ
maile kapḌe tan pe daaġh lagāte haiñ
bhīgī āñhkeñ jaane kyā kyā kahtī haiñ
chūlhe ko jī bhar ke aag nahīñ miltī
kapḌoñ ko sandūq taraste rahte haiñ
darvāza khiḌkī muñh khole takte haiñ
dīvāroñ par bhutne hañste rahte haiñ
ab maiñ ghar meñ paañv nahīñ rakhūñgā kabhī
roz yahī maiñ soch ke ghar se jaatā huuñ
sab raste hir-phir ke vāpas aate haiñ
roz maiñ apne aap ko ghar meñ paatā huuñ!
ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi
ghar ki ek ek chiz se mujh ko nafrat hai
ghar wale sab ke sab mere dushman hain
jail se milti-julti ghar ki surat hai
abba mujh se roz yahi farmate hain
kab tak mera KHun pasina chaToge
amman bhi har roz shikayat karti hain
kya ye jawani paDe paDe hi kaToge
bhai kitabon ko rota rahta hai sada
bahnen apna jism churae rahti hain
maile kapDe tan pe dagh lagate hain
bhigi aanhken jaane kya kya kahti hain
chulhe ko ji bhar ke aag nahin milti
kapDon ko sanduq taraste rahte hain
darwaza khiDki munh khole takte hain
diwaron par bhutne hanste rahte hain
ab main ghar mein panw nahin rakhunga kabhi
roz yahi main soch ke ghar se jata hun
sab raste hir-phir ke wapas aate hain
roz main apne aap ko ghar mein pata hun!
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 138)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.