ghar ka wahid mard
mirī baajī
bahut der se mujhe āvāzeñ de rahī thiiñ
ġhāliban bāzār jaanā thā
jab se abbā kā intiqāl huā hai
vo har chhoTe-baḌe kaam ke liye
jab bhī kahīñ jātīñ mujhe saath le jaatī thiiñ
kabhī kabhī to mujhe bahut burā lagtā
aaj bhī maiñ apnā khel chhoḌ kar uThā
baajī ne sar par chādar Daalī ammī se paise liye
aur merā haath thaam kar chal diiñ
maiñ bahan se chimTā huā chal rahā thā
bāzār aur ghar kī darmiyānī tañg galī meñ
sar-e-shām tārīkī chhā jaatī thī
mujhe vahāñ se guzarte hue hamesha hī ḳhauf aatā thā
bāzār se vāpsī par galī meñ dāḳhil hote hī
mujhe ḳhauf ke saath kuchh ajiib sā ehsās huā
mere haath par
bahan kī giraft ziyāda hī saḳht ho ga.ī thī
nīm-tārīk sunsān galī ke bīcho-bīch chand naujavān laḌke
hamārā rāsta roke khaḌe the
vo achchhe log nahīñ lagte the
jab hī to merī baajī un se ḳhaufzada lag rahī thiiñ
achānak sab kuchh merī samajh meñ aa gayā
merī bahan mujhe apne sahāre ke liye
bāhar le kar jaatī thiiñ
abbā kī vafāt ke baa'd ghar ke andar maiñ hī to vāhid mard thā
ye ehsās hote hī
maiñ ne baajī ke haath se apnā haath chhuḌā liyā
aur un ke haath ko
apnī chhoTī chhoTī uñgliyoñ meñ mazbūtī se jakaḌ kar
baḌe e'timād ke saath nape tule qadam uThātā
un āvāra laḌkoñ ke ġhol se nikaltā chalā gayā
us lamhe mujhe aisā mahsūs huā jaise maiñ saat saal ke
kisī kamzor bachche kī bajā.e
sattā.īs saal kā ek tavānā mard huuñ
meri baji
bahut der se mujhe aawazen de rahi thin
ghaaliban bazar jaana tha
jab se abba ka intiqal hua hai
wo har chhoTe-baDe kaam ke liye
jab bhi kahin jatin mujhe sath le jati thin
kabhi kabhi to mujhe bahut bura lagta
aaj bhi main apna khel chhoD kar uTha
baji ne sar par chadar Dali ammi se paise liye
aur mera hath tham kar chal din
main bahan se chimTa hua chal raha tha
bazar aur ghar ki darmiyani tang gali mein
sar-e-sham tariki chha jati thi
mujhe wahan se guzarte hue hamesha hi KHauf aata tha
bazar se wapsi par gali mein daKHil hote hi
mujhe KHauf ke sath kuchh ajib sa ehsas hua
mere hath par
bahan ki giraft ziyaada hi saKHt ho gai thi
nim-tarik sunsan gali ke bicho-bich chand naujawan laDke
hamara rasta roke khaDe the
wo achchhe log nahin lagte the
jab hi to meri baji un se KHaufzada lag rahi thin
achanak sab kuchh meri samajh mein aa gaya
meri bahan mujhe apne sahaare ke liye
bahar le kar jati thin
abba ki wafat ke ba'd ghar ke andar main hi to wahid mard tha
ye ehsas hote hi
main ne baji ke hath se apna hath chhuDa liya
aur un ke hath ko
apni chhoTi chhoTi ungliyon mein mazbuti se jakaD kar
baDe e'timad ke sath nape tule qadam uThata
un aawara laDkon ke ghol se nikalta chala gaya
us lamhe mujhe aisa mahsus hua jaise main sat sal ke
kisi kamzor bachche ki bajae
sattais sal ka ek tawana mard hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.