ghar ki jhalak
jhalak to dekho hamāre ghar kī yahāñ haiñ naanī yahāñ haiñ taa.ī
hamāre maañ baap aur chachā haiñ yahāñ haiñ bahneñ yahāñ haiñ bhaa.ī
hamārā ghar hai hasīn gulshan ḳhushī kī kaliyāñ khilī huī haiñ
vafā kī ḳhushbū basī huī hai huī na hogī yahāñ laḌā.ī
hamāre abbū kī dekho azmat har ek kurtā hai in kī izzat
nazar meñ in kī haiñ sab barābar inhīñ se miltī hai rahnumā.ī
kamā rahe haiñ halāl rozī banā diyā hai hameñ namāzī
inhīñ se ghar meñ hai ḳhair-o-barkat kisī kī karte nahīñ burā.ī
hamārī ammī haiñ nek sīrat hameñ milī hai inhīñ se rāhat
sadā kitchen meñ hai kaam un kā pakā rahī haiñ chikan fry
laboñ pe un ke sadā tabassum zabān un kī hai ḳhuub shīrīñ
nahīñ hai kāmoñ se un ko fursat kabhī safā.ī kabhī silā.ī
hameñ hai un se dilī mohabbat unhīñ ke qadmoñ tale hai jannat
baḌī mohabbat se parvarish kī hai un kī fitrat meñ pārsā.ī
ajiib shai haiñ chachā hamāre nahīñ kisī kī samajh meñ aa.e
liye haiñ pyāle meñ murġh chhole usī meñ Daalī hai ras-malā.ī
jo muuD ho to sunā.eñ naama Thumak Thumak kar bajā.eñ tabla
ga.e vo ik roz chhat ke uupar vahāñ chachā ne patañg uḌaa.ī
madad vo ammī kī kar rahe haiñ tave pe chamcha chalā rahe haiñ
savere uTh kar chachā hamāre galī kī karte haiñ ḳhud safā.ī
vo sair karne ga.e haiñ bāhar pahan ke banyān aur lañgoTī
baḌī sī pagḌī hai sar ke uupar laTak rahī hai gale se tie
baḌī haiñ sab se hamārī naanī sunātī haiñ vo hameñ kahānī
zabāñ pe zikr-e-ḳhudā hai jaarī Thikānā un kā hai chārpā.ī
Dakārtī haiñ hamārī taa.ī hamesha piitī haiñ vo davā.ī
baḌā sā takiya hai sar ke nīche badan ke uupar hai ik razā.ī
baḌī bahan kā hai naam raziya vo noveloñ kī bahut hai rasiyā
kashīdakārī meñ hai mahārat maze se khātī hai vo miThā.ī
bahan surayyā ne laayā guDDā bahan ruqayya ne laa.ī guḌiyā
saheliyoñ ko bulā ke shādī ḳhushī se dālān meñ rachā.ī
hamārā anvar hai das baras kā musavvirī se use hai raġhbat
banā ke tasvīr jab dikhā.ī to bhaa.ī bahnoñ se daad paa.ī
hai sab se chhoTā miyāñ munavvar magar hai ta.alīm se mohabbat
davāt le kar vo likh rahā thā girā dī kapḌoñ pe raushnā.ī
zarā sā apnā bhī haal kah duuñ maiñ ek collage meñ paḌh rahā huuñ
kitāb se merī dostī hai kabhī na chhoḌūñgā maiñ paḌhā.ī
jhalak to dekho hamare ghar ki yahan hain nani yahan hain tai
hamare man bap aur chacha hain yahan hain bahnen yahan hain bhai
hamara ghar hai hasin gulshan KHushi ki kaliyan khili hui hain
wafa ki KHushbu basi hui hai hui na hogi yahan laDai
hamare abbu ki dekho azmat har ek kurta hai in ki izzat
nazar mein in ki hain sab barabar inhin se milti hai rahnumai
kama rahe hain halal rozi bana diya hai hamein namazi
inhin se ghar mein hai KHair-o-barkat kisi ki karte nahin burai
hamari ammi hain nek sirat hamein mili hai inhin se rahat
sada kitchen mein hai kaam un ka paka rahi hain chikan fry
labon pe un ke sada tabassum zaban un ki hai KHub shirin
nahin hai kaamon se un ko fursat kabhi safai kabhi silai
hamein hai un se dili mohabbat unhin ke qadmon tale hai jannat
baDi mohabbat se parwarish ki hai un ki fitrat mein parsai
ajib shai hain chacha hamare nahin kisi ki samajh mein aae
liye hain pyale mein murgh chhole usi mein Dali hai ras-malai
jo muD ho to sunaen nama Thumak Thumak kar bajaen tabla
gae wo ek roz chhat ke upar wahan chacha ne patang uDai
madad wo ammi ki kar rahe hain tawe pe chamcha chala rahe hain
sawere uTh kar chacha hamare gali ki karte hain KHud safai
wo sair karne gae hain bahar pahan ke banyan aur langoTi
baDi si pagDi hai sar ke upar laTak rahi hai gale se tie
baDi hain sab se hamari nani sunati hain wo hamein kahani
zaban pe zikr-e-KHuda hai jari Thikana un ka hai chaarpai
Dakarti hain hamari tai hamesha piti hain wo dawai
baDa sa takiya hai sar ke niche badan ke upar hai ek razai
baDi bahan ka hai nam raziya wo nowelon ki bahut hai rasiya
kashidakari mein hai mahaarat maze se khati hai wo miThai
bahan surayya ne laya guDDa bahan ruqayya ne lai guDiya
saheliyon ko bula ke shadi KHushi se dalan mein rachai
hamara anwar hai das baras ka musawwiri se use hai raghbat
bana ke taswir jab dikhai to bhai bahnon se dad pai
hai sab se chhoTa miyan munawwar magar hai talim se mohabbat
dawat le kar wo likh raha tha gira di kapDon pe raushnai
zara sa apna bhi haal kah dun main ek collage mein paDh raha hun
kitab se meri dosti hai kabhi na chhoDunga main paDhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.