ghar ki raunaq
ham apne ahl siyāsat ke dil se qaa.el haiñ
ki haq meñ qaum ke vo mādar-e-masā.il haiñ
qadam qadam pe na.e gul khilāte rahte haiñ
tarah tarah ke masā.il ugāte rahte haiñ
kabhī ye dhun hai ki sūboñ kī phir se ho tashkīl
kabhī ye zid hai ki had-biñdiyāñ na hoñ tabdīl
kabhī ye shor karo ḳhatm chor-bāzārī
munāfa-ḳhoroñ kī lekin na ho giraftārī
barā.e-bahs khaḌā hai kabhī ye hañgāma
libās qaum kā dhotī ho yā ki pājāma
har ek bahs meñ kuchh kisht-o-ḳhūñ zarūrī hai
nahīñ to jo bhī hai tahrīk vo adhūrī hai
har ek fitna-o-shorish kā āḳhirī jalva
muzāharāt o julūs o tasādum o balva
yūñhī uThā.ī ga.ī bahs jab zabāñ ke liye
''suḳhan bahāna huā marg-e-nā-gahāñ ke liye''
vo mas.ala ki jo dānish-kadoñ meñ hal hotā
balā se aaj agar tai na hotā kal hotā
use bhī ahl-e-siyāsat ne kar liyā iġhvā
aur is ke ba.ad vo sab kuchh huā jo honā thā
nifāq o buġhz o ta.assub ke aa ga.e rele
zabāñ kī aaḌ meñ ahl-e-fasād khul-khele
muḳhālifat meñ huī jā-ba-jā saf-ārā.ī
julūs le ke chale ik taraf se balvā.ī
laboñ pe ġhalġhala-e-''inqilāb zindābād''
magar diloñ maiñ dabā.e hue sharār-e-fasād
dukāneñ lauTī ga.iiñ rāh-gīr maare ga.e
gharoñ meñ aag lagī tifl o piir maare ga.e
vo pahlā shaḳhs jau khā kar chhure kā zaḳhm girā
maze kī baat to ye hai, ġharīb gūñgā thā
mazīd ye ki ise jaañ se mārne vaale
kisī zabān se vāqif na the ḳhud an-paḌh the
hum apne ahl siyasat ke dil se qael hain
ki haq mein qaum ke wo madar-e-masail hain
qadam qadam pe nae gul khilate rahte hain
tarah tarah ke masail ugate rahte hain
kabhi ye dhun hai ki subon ki phir se ho tashkil
kabhi ye zid hai ki had-bindiyan na hon tabdil
kabhi ye shor karo KHatm chor-bazari
munafa-KHoron ki lekin na ho giraftari
barae-bahs khaDa hai kabhi ye hangama
libas qaum ka dhoti ho ya ki pajama
har ek bahs mein kuchh kisht-o-KHun zaruri hai
nahin to jo bhi hai tahrik wo adhuri hai
har ek fitna-o-shorish ka aaKHiri jalwa
muzaharaat o julus o tasadum o balwa
yunhi uThai gai bahs jab zaban ke liye
suKHan bahana hua marg-e-na-gahan ke liye
wo masala ki jo danish-kadon mein hal hota
bala se aaj agar tai na hota kal hota
use bhi ahl-e-siyasat ne kar liya ighwa
aur is ke baad wo sab kuchh hua jo hona tha
nifaq o bughz o tassub ke aa gae rele
zaban ki aaD mein ahl-e-fasad khul-khele
muKHalifat mein hui ja-ba-ja saf-arai
julus le ke chale ek taraf se balwai
labon pe ghalghala-e-inqilab zindabaad
magar dilon main dabae hue sharar-e-fasad
dukanen lauTi gain rah-gir mare gae
gharon mein aag lagi tifl o pir mare gae
wo pahla shaKHs jau kha kar chhure ka zaKHm gira
maze ki baat to ye hai, gharib gunga tha
mazid ye ki ise jaan se marne wale
kisi zaban se waqif na the KHud an-paDh the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.