ghar
pyāre beTe tū ne iiñT gaare cement aur sariye vaalā makān to banā liyā hai
merī duā hai ki ye mohabbat amn ḳhushī aur ḳhush-hāl se bharā ghar ban jaa.e
is ke darvāze se koī badī aur burā.ī dāḳhil hī na hone paa.e
khiḌkiyoñ se zindagī-baḳhsh havā to zarūr andar aa.e lekin har tūfān bāhar hī rah jaa.e
terā ye ghar vo kashtī ban jaa.e jo tujhe har bhañvar se ba-ḳhair nikāl le jaa.e
garmiyāñ aa.eñ to ghar qurbatoñ kī garmī se damak uTThe
ḳhizāñ aa.e to dīvāroñ par saje fan-pāroñ se bahār sharmā jaa.e
bahār aa.e to mahsūs ho ki terā ghar hī is kā mamba.a hai
bāhar kitnā hī shor-o-ġhauġhā ho tere ghar meñ sukūn-o-rāhat ho
bāhar kitnā hī añdherā ho tere ghar meñ na.e hausloñ ke charāġh raushan hoñ
tere ghar kī chār-dīvārī is qile kī fasīl ban jaa.e
jis meñ nafrat naqb na lagā sake
mohabbat jis ke andar mahfūz ho
ek dūsre kī mohabbat
insān kī mohabbat
ḳhudā kī mohabbat
ghar kar jaa.e
ghar
pyare beTe tu ne inT gare cement aur sariye wala makan to bana liya hai
meri dua hai ki ye mohabbat amn KHushi aur KHush-haal se bhara ghar ban jae
is ke darwaze se koi badi aur burai daKHil hi na hone pae
khiDkiyon se zindagi-baKHsh hawa to zarur andar aae lekin har tufan bahar hi rah jae
tera ye ghar wo kashti ban jae jo tujhe har bhanwar se ba-KHair nikal le jae
garmiyan aaen to ghar qurbaton ki garmi se damak uTThe
KHizan aae to diwaron par saje fan-paron se bahaar sharma jae
bahaar aae to mahsus ho ki tera ghar hi is ka mamba hai
bahar kitna hi shor-o-ghaugha ho tere ghar mein sukun-o-rahat ho
bahar kitna hi andhera ho tere ghar mein nae hauslon ke charagh raushan hon
tere ghar ki chaar-diwari is qile ki fasil ban jae
jis mein nafrat naqb na laga sake
mohabbat jis ke andar mahfuz ho
ek dusre ki mohabbat
insan ki mohabbat
KHuda ki mohabbat
ghar kar jae
ghar
- Book : din kaa phool (Pg. 147)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.