ghar
do raste haiñ
donoñ tere ghar jaate haiñ
is raste se tiin baras meñ ghar pahuñchegā
us par saat baras lagte haiñ
jis par saat baras lagte haiñ vo rasta hamvār bhī hai
us raste ke donoñ jānib shahr bhī hai bāzār bhī hai
tiin baras vaale raste ke biich meñ jañgal paḌtā hai
jañgal jis meñ baras baras tak
sone vaale kaale azhdar
apne maqnātīsī zahr se apnī jānib khīñchte haiñ
jañgal jis ke mohlik patte
pairoñ ke chhāloñ se lipaT kar
saarā lahū pī jaate haiñ
tū mālik hai
jis raste se jaanā chāhe jā saktā hai
maiñ ne apne dūsre maiñ kī baat sunī aur ḳhuub hañsā
maiñ ḳhuub hañsā aur tiin baras vaale raste par chalne lagā...,
do raste hain
donon tere ghar jate hain
is raste se tin baras mein ghar pahunchega
us par sat baras lagte hain
jis par sat baras lagte hain wo rasta hamwar bhi hai
us raste ke donon jaanib shahr bhi hai bazar bhi hai
tin baras wale raste ke bich mein jangal paDta hai
jangal jis mein baras baras tak
sone wale kale azhdar
apne maqnatisi zahr se apni jaanib khinchte hain
jangal jis ke mohlik patte
pairon ke chhaalon se lipaT kar
sara lahu pi jate hain
tu malik hai
jis raste se jaana chahe ja sakta hai
main ne apne dusre main ki baat suni aur KHub hansa
main KHub hansa aur tin baras wale raste par chalne laga,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.