gharaunde
ghanTiyāñ guuñj uThīñ guuñj uThīñ
gas bekār jalāte ho bujhā do burner
apnī chīzoñ ko uThā kar rakkho
jaao ghar jaao lagā do ye kivāḌ
ek niilī sī hasīñ rañg kī copy le kar
maiñ yahāñ ghar ko chalā aatā huuñ
ek cigarette ko sulgātā huuñ
vo mirī aas meñ baiThī hogī
vo mirī raah bhī taktī hogī
kyuuñ abhī tak nahīñ aa.e āḳhir
sochte sochte thak jā.egī
ghabrā.egī
aur jab duur se dekhegī to khil jā.egī
us ke jazbāt chhalak uTTheñge
us kā siina bhī dhaḌak uTThegā
us kī bāñhoñ meñ nayā ḳhuun simaT aa.egā
us ke māthe pe na.ī sub.h ubhartī hogī
us ke hoñToñ pe na.e giit larazte hoñge
us kī āñkhoñ meñ nayā husn nikhar aa.egā
ek tarġhīb nazar aa.egī
us ke hoñToñ ke sabhī giit churā hī lūñgā
oh kyā soch rahā huuñ mujhe kuchh yaad nahīñ
maiñ tasavvur meñ gharauñde to banā letā huuñ
apnī tanhā.ī ko pardoñ meñ chhupā letā huuñ
ghanTiyan gunj uThin gunj uThin
gas bekar jalate ho bujha do burner
apni chizon ko uTha kar rakkho
jao ghar jao laga do ye kiwaD
ek nili si hasin rang ki copy le kar
main yahan ghar ko chala aata hun
ek cigarette ko sulgata hun
wo meri aas mein baiThi hogi
wo meri rah bhi takti hogi
kyun abhi tak nahin aae aaKHir
sochte sochte thak jaegi
ghabraegi
aur jab dur se dekhegi to khil jaegi
us ke jazbaat chhalak uTThenge
us ka sina bhi dhaDak uTThega
us ki banhon mein naya KHun simaT aaega
us ke mathe pe nai subh ubharti hogi
us ke honTon pe nae git larazte honge
us ki aankhon mein naya husn nikhar aaega
ek targhib nazar aaegi
us ke honTon ke sabhi git chura hi lunga
oh kya soch raha hun mujhe kuchh yaad nahin
main tasawwur mein gharaunde to bana leta hun
apni tanhai ko pardon mein chhupa leta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.