ghaTa chhai to kya
chhaT ga.e jab aap hī uudī ghaTā chhā.ī to kyā
turbat-e-pāmāl ke sabze pe lahar aa.ī to kyā
jab zarūrat hī rahī baaqī na lahn-o-rañg kī
koyaleñ kūkīñ to kyā sāvan kī rut aa.ī to kyā
hijr ke ālām se jab chhuT chukī nabz-e-nashāt
ab havā ne ḳhār-o-ḳhas meñ ruuh dauḌā.ī to kyā
ho chukī zauq-e-tabassum hī se jab begānagī
ab chaman-afroz phūloñ ko hañsī aa.ī to kyā
muḌ chukī jab maut ke jaade kī jānib zindagī
ab kisī ne āfiyat kī raah dikhlā.ī to kyā
har nafas ke saath dil se jab dhuāñ uThne lagā
bādaloñ se chhan ke ab ThanDī havā aa.ī to kyā
sāmne jab aap ke gesū kī lahreñ hī nahīñ
badliyoñ ne charḳh par ab zulf bikhrā.ī to kyā
ho chukā pāyāb jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabāb
ab samundar kī javānī baaḌh par aa.ī to kyā
ġhuncha-e-ahd-e-tarab hī mil chukā ab ḳhaak meñ
ḳhāk-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itrā.ī to kyā
miT chuke jab vālihāna bāñkpan ke valvale
aa.ī ab doshīza-e-mausam ko añgḌā.ī to kyā
khul chukā jab parcham-e-ġham zindagī ke qasr par
ab havāoñ ne kamar paudoñ kī lachkā.ī to kyā
āñsuoñ meñ bah ga.iiñ jab ḳhuun kī jaulāniyāñ
jañgaloñ kī chhāñv meñ barsāt iThlā.ī to kyā
'josh' ke pahlū meñ jab tum hī machal sakte nahīñ
phir ghaTā ke dāmanoñ meñ barq lahrā.ī to kyā
chhaT gae jab aap hi udi ghaTa chhai to kya
turbat-e-pamal ke sabze pe lahar aai to kya
jab zarurat hi rahi baqi na lahn-o-rang ki
koyalen kukin to kya sawan ki rut aai to kya
hijr ke aalam se jab chhuT chuki nabz-e-nashat
ab hawa ne KHar-o-KHas mein ruh dauDai to kya
ho chuki zauq-e-tabassum hi se jab beganagi
ab chaman-afroz phulon ko hansi aai to kya
muD chuki jab maut ke jade ki jaanib zindagi
ab kisi ne aafiyat ki rah dikhlai to kya
har nafas ke sath dil se jab dhuan uThne laga
baadalon se chhan ke ab ThanDi hawa aai to kya
samne jab aap ke gesu ki lahren hi nahin
badliyon ne charKH par ab zulf bikhrai to kya
ho chuka payab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabab
ab samundar ki jawani baDh par aai to kya
ghuncha-e-ahd-e-tarab hi mil chuka ab KHak mein
KHak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itrai to kya
miT chuke jab walihana bankpan ke walwale
aai ab doshiza-e-mausam ko angDai to kya
khul chuka jab parcham-e-gham zindagi ke qasr par
ab hawaon ne kamar paudon ki lachkai to kya
aansuon mein bah gain jab KHun ki jaulaniyan
jangalon ki chhanw mein barsat iThlai to kya
'josh' ke pahlu mein jab tum hi machal sakte nahin
phir ghaTa ke damanon mein barq lahrai to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.