ghoDa
asp īrāñ meñ arab meñ faras kahlātā hai ye
aur hindostān meñ ghoḌā kahā jaatā hai ye
jaan de detā hai mālik ke liye ye jānvar
ye hai tāqat-var bahādur ye hai bā-himmat niDar
jañg talvāroñ se hotī thī jab hindostān meñ
ye dikhātā thā shujā.at jañg ke maidān meñ
khel hockey kī tarah polo bhī hotā thā magar
khelte the log polo bhī usī par baiTh kar
hai zarūrat us kī ab tāñga chalāne ke liye
pālte haiñ ab use rozī kamāne ke liye
ik zarūrat aur bhī ghoḌe kī hai is des meñ
jo juārī haiñ vo dauḌāte haiñ is ko race meñ
shukr kartā hai ye khā kar naañd meñ jo paas ho
hoñ chane bhīge hue 'sāhil' ki sūkhī ghaas ho
asp iran mein arab mein faras kahlata hai ye
aur hindostan mein ghoDa kaha jata hai ye
jaan de deta hai malik ke liye ye jaanwar
ye hai taqat-war bahadur ye hai ba-himmat niDar
jang talwaron se hoti thi jab hindostan mein
ye dikhata tha shujaat jang ke maidan mein
khel hockey ki tarah polo bhi hota tha magar
khelte the log polo bhi usi par baiTh kar
hai zarurat us ki ab tanga chalane ke liye
palte hain ab use rozi kamane ke liye
ek zarurat aur bhi ghoDe ki hai is des mein
jo juari hain wo dauDate hain is ko race mein
shukr karta hai ye kha kar nand mein jo pas ho
hon chane bhige hue 'sahil' ki sukhi ghas ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.