ghoDa
maiñ ghoḌe ke baare meñ bahut kuchh jāntā huuñ
vo avvalīn shajar hai
vo baañs ke jañgal kī tarah rātoñ raat ugtā hai
aur havāoñ ko sansanāte hue guzarne kī ijāzat detā hai
ghoḌe ko ḳhudā ne 'afzāl' ahmad sayyad kī nazm kī tarah banāyā hai
ḳhuub chauḌā
siyāh miTTī se phūTtā huā
siyāh āsmān se utartā huā
parvāz par āmāda
ḳhudā ne ek ulūhī ġhusse
pasīne
aur dhuup bhare ghaas ke maidān ko gūñdh kar
us kī hinhināhaT tartīb dī hai
us kī Tāpoñ kī dhamak meñ
qazā-o-qadr ke be-muravvat faisle jaḌ diye haiñ
aur us kī raftār ke daa.eñ baa.eñ
vo dhuñdle manzar phailā diye haiñ
jin meñ Thiik se kuchh patā nahīñ chaltā ki kyā ho rahā hai
ḳhudā ne ghoḌe kī raftār ke sāmne bhī manzar phailā.e haiñ
bilkul siidh meñ dekho to vo vāzeh aur tai-shuda nazar aate haiñ
yahāñ tak ki
vo niim ho kar
daa.eñ aur baa.eñ taqsīm na ho jaa.eñ
aur dhuñdlā na jaa.eñ
ḳhudā ne ghoḌe kī raftār ke aqab meñ
nīstī bichhā dī hai
yā ek āvāz ki
sarvam dukkham dukkham
aur ghoḌā in sab bātoñ se mil kar banā hai
main ghoDe ke bare mein bahut kuchh jaanta hun
wo awwalin shajar hai
wo bans ke jangal ki tarah raaton raat ugta hai
aur hawaon ko sansanate hue guzarne ki ijazat deta hai
ghoDe ko KHuda ne 'afzal' ahmad sayyad ki nazm ki tarah banaya hai
KHub chauDa
siyah miTTi se phuTta hua
siyah aasman se utarta hua
parwaz par aamada
KHuda ne ek uluhi ghusse
pasine
aur dhup bhare ghas ke maidan ko gundh kar
us ki hinhinahaT tartib di hai
us ki Tapon ki dhamak mein
qaza-o-qadr ke be-murawwat faisle jaD diye hain
aur us ki raftar ke daen baen
wo dhundle manzar phaila diye hain
jin mein Thik se kuchh pata nahin chalta ki kya ho raha hai
KHuda ne ghoDe ki raftar ke samne bhi manzar phailae hain
bilkul sidh mein dekho to wo wazeh aur tai-shuda nazar aate hain
yahan tak ki
wo nim ho kar
daen aur baen taqsim na ho jaen
aur dhundla na jaen
KHuda ne ghoDe ki raftar ke aqab mein
nisti bichha di hai
ya ek aawaz ki
sarwam dukkham dukkham
aur ghoDa in sab baaton se mil kar bana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.