ghoDa
tum ne dekhā hogā ghoḌā
kyā siinā us kā hai chauḌā
shakl hai pyārī vo hai bāñkā
kāThī achchhī rang bhī achchhā
baal us kī dam aur gardan ke
kyā haiñ mulā.em aur chamkīle
gol qadam haiñ Tāñgeñ patlī
rāneñ tāqat-var aur chipTī
na.al agar hoñ sum nahīñ ghiste
dauḌte haiñ ārām se ghoḌe
sum haiñ saḳht kuchh aise bachcho
kāTeñ to iizā na ho us ko
kaan haiñ chhoTe khaḌe nukīle
daañt haiñ muñh meñ aage pīchhe
ghaas chanā bas is kī ġhizā hai
chabā chabā kar ye khātā hai
tez hai itnā dauḌne vaalā
dam ka.ī mīloñ meñ hai letā
aql samajh achchhī hai is kī
aur vafā bhī is meñ paa.ī
rakhtā hai ye yaad vo rasta
is ne jo ik baar bhī dekhā
taabe apne mālik kā hai
us ke ishāre par chaltā hai
ranj meñ aaqā ko jo hai paatā
apnī jaan ko bhī hai khapātā
tum bhī sabaq lo is se bachcho
apne baḌoñ ko raazī rakkho
jo kahtā hai 'jauhar' maano
is kī baat ko jhuuT na maano
tum ne dekha hoga ghoDa
kya sina us ka hai chauDa
shakl hai pyari wo hai banka
kaThi achchhi rang bhi achchha
baal us ki dam aur gardan ke
kya hain mulaem aur chamkile
gol qadam hain Tangen patli
ranen taqat-war aur chipTi
nal agar hon sum nahin ghiste
dauDte hain aaram se ghoDe
sum hain saKHt kuchh aise bachcho
kaTen to iza na ho us ko
kan hain chhoTe khaDe nukile
dant hain munh mein aage pichhe
ghas chana bas is ki ghiza hai
chaba chaba kar ye khata hai
tez hai itna dauDne wala
dam kai milon mein hai leta
aql samajh achchhi hai is ki
aur wafa bhi is mein pai
rakhta hai ye yaad wo rasta
is ne jo ek bar bhi dekha
tabe apne malik ka hai
us ke ishaare par chalta hai
ranj mein aaqa ko jo hai pata
apni jaan ko bhi hai khapata
tum bhi sabaq lo is se bachcho
apne baDon ko raazi rakkho
jo kahta hai 'jauhar' mano
is ki baat ko jhuT na mano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.