ghoDe ki maut
ghoḌā marā hai
ki vo aglī Tāñgoñ ko
uupar uThātā huā
mere dil meñ
kahīñ nāchtā hai
use maut yuuñ aa.ī
logoñ ko jaise vabā gher letī hai
yakdam
baḌe shahr ko gher lete haiñ
āhista āhista jaise mazāfāt
raqqāsoñ ke biich
yuuñ ghir gayā thā
siyah-rang ghoḌā
siyah-rang logoñ meñ ghirtī hai
jaise tavā.if
siyah-rang ghoḌe ke
ghuTnoñ ke nīche
vo ghuñghrū bañdhe the
jo logoñ ke siine meñ bajte the
galiyāñ ujaḌtī thiiñ bāzār sajte the
ghoḌe ko shāyad
tavā.if kī azalī kahānī thī azbar
jise sun ke vo raqs karte hue mar gayā
apne māthe sitāroñ bhare apne māthe ko
logoñ ke qadmoñ meñ
yuuñ Tekte Tekte mar gayā
aise lagtā hai
ghoḌe ke siine meñ
shā'ir kā dil thā
vo ghoḌā mire dil meñ
ik ḳhvāb kī shakl meñ
jāgtā hai
mire dil ke maidān meñ
puurī mastī se
naḳhre se
nāzoñ se
Tāñgoñ ko
ThoḌī ke nazdīk laatā huā
mustaqil bhāgtā hai
ghoDa mara hai
ki wo agli Tangon ko
upar uThata hua
mere dil mein
kahin nachta hai
use maut yun aai
logon ko jaise waba gher leti hai
yakdam
baDe shahr ko gher lete hain
aahista aahista jaise mazafat
raqqason ke bich
yun ghir gaya tha
siyah-rang ghoDa
siyah-rang logon mein ghirti hai
jaise tawaif
siyah-rang ghoDe ke
ghuTnon ke niche
wo ghunghru bandhe the
jo logon ke sine mein bajte the
galiyan ujaDti thin bazar sajte the
ghoDe ko shayad
tawaif ki azali kahani thi azbar
jise sun ke wo raqs karte hue mar gaya
apne mathe sitaron bhare apne mathe ko
logon ke qadmon mein
yun Tekte Tekte mar gaya
aise lagta hai
ghoDe ke sine mein
sha'ir ka dil tha
wo ghoDa mere dil mein
ek KHwab ki shakl mein
jagta hai
mere dil ke maidan mein
puri masti se
naKHre se
nazon se
Tangon ko
ThoDi ke nazdik lata hua
mustaqil bhagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.