ghor andhera
ḳhūn-chashīda sadiyoñ kā vo ghor-añdherā bikhar gayā
jañg-o-jadal kā jazba jaagā amn kā parcham utar gayā
nisf sadī Dhalne ko hai vo raat Dhale
phir bhī lahū kā biphrā dariyā jaarī hai
māsūmoñ ke nāloñ se
mazlūmoñ kī aahoñ se
insānoñ kī chīḳhoñ se
tharrāte haiñ vīrāne
sach kahtā hai raat Dhalī
raat Dhalī yā ḳhuun meñ Duubī havā chalī
terī baanī tū jaane
ham to Thahre dīvāne
koī maane yā na maane sau bātoñ kī baat hai ye
biitī shab thī pal do pal kī ek sadī kī raat hai ye
KHun-chashida sadiyon ka wo ghor-andhera bikhar gaya
jang-o-jadal ka jazba jaga amn ka parcham utar gaya
nisf sadi Dhalne ko hai wo raat Dhale
phir bhi lahu ka biphra dariya jari hai
masumon ke nalon se
mazlumon ki aahon se
insanon ki chiKHon se
tharraate hain virane
sach kahta hai raat Dhali
raat Dhali ya KHun mein Dubi hawa chali
teri bani tu jaane
hum to Thahre diwane
koi mane ya na mane sau baaton ki baat hai ye
biti shab thi pal do pal ki ek sadi ki raat hai ye
- Book : Ak Qatra ak Samandar (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.