ghuTan ka ilaj
chalo kisī kī mazammat kareñ zabāñ kholeñ
bahut dinoñ se jo taalā lagā hai hoñToñ par
to dil meñ kitnī ghuTan kitnī zahr-nākī hai
kahīñ ye zahr ugal deñ kisī ko gaalī deñ
magar ye log to shāyad sab apne jaise haiñ
shikastagī kā ik ā.īna jin ke chehre haiñ
hamāre naam ki milte hue se naam haiñ sab
alag alag haiñ kahāñ ham ik izhdihām haiñ sab
ik izhdihām jo pur-shor shāh-rāhoñ par
ḳhamosh reñgtā rahtā hai sar jhukā.e hue
na aañkh uThāne kī mohlat na lab-kushā.ī kī taab
nigāh-o-dil kī asīrī ḳhamoshiyoñ kā azaab
use burā na kaheñ kyoñ na us ke saath chaleñ
dil apnā us ko dikhā.eñ dukh us kā ham bhī suneñ
ki is tarah bhī to mumkin hai is ghuTan kā ilaaj
chalo kisi ki mazammat karen zaban kholen
bahut dinon se jo tala laga hai honTon par
to dil mein kitni ghuTan kitni zahr-naki hai
kahin ye zahr ugal den kisi ko gali den
magar ye log to shayad sab apne jaise hain
shikastagi ka ek aaina jin ke chehre hain
hamare nam ki milte hue se nam hain sab
alag alag hain kahan hum ek izhdiham hain sab
ek izhdiham jo pur-shor shah-rahon par
KHamosh rengta rahta hai sar jhukae hue
na aankh uThane ki mohlat na lab-kushai ki tab
nigah-o-dil ki asiri KHamoshiyon ka azab
use bura na kahen kyon na us ke sath chalen
dil apna us ko dikhaen dukh us ka hum bhi sunen
ki is tarah bhi to mumkin hai is ghuTan ka ilaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.