ghibat na karo
ik javān ik mard-e-dānā ke qarīb
aayā aur minnat se bolā ai habīb
vo fulāñ ik dost hai jo aap kā
aap ko vo kahtā rahtā hai burā
sun ke ye us mard-e-dānā ne kahā
ek hī kī bhaa.ī us ne to ḳhatā
kiiñ ḳhatā.eñ tiin tum ne ek dam
hai mujhe us se sivā is kā alam
ek to ye dost ko dushman kiyā
tum ne us se mujh ko yuuñ bad-zan kiyā
dūsrī khoyā ḳhud apnā e'tibār
aur hue merī nazar meñ aap ḳhaar
kī jo ġhībat tīsrī ye hai ḳhatā
is se bhī nārāz hotā hai ḳhudā
ab to aise kaam se tauba karo
maan lo merī ḳhudārā maan lo
vāqa.ī 'jauhar' kā kahnā hai bajā
sach kahā hai us ne jo kuchh bhī kahā
ek jawan ek mard-e-dana ke qarib
aaya aur minnat se bola ai habib
wo fulan ek dost hai jo aap ka
aap ko wo kahta rahta hai bura
sun ke ye us mard-e-dana ne kaha
ek hi ki bhai us ne to KHata
kin KHataen tin tum ne ek dam
hai mujhe us se siwa is ka alam
ek to ye dost ko dushman kiya
tum ne us se mujh ko yun bad-zan kiya
dusri khoya KHud apna e'tibar
aur hue meri nazar mein aap KHar
ki jo ghibat tisri ye hai KHata
is se bhi naraaz hota hai KHuda
ab to aise kaam se tauba karo
man lo meri KHudara man lo
waqai 'jauhar' ka kahna hai baja
sach kaha hai us ne jo kuchh bhi kaha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.