git
raat din silsila-e-umr-e-ravāñ kī kaḌiyāñ
kal jahāñ ruuh jhulas jaatī thī
apne saa.e se bhī aañch aatī thī
aaj usī dasht pe sāvan kī lagī haiñ jhaḌiyāñ
raat din silsila-e-umr-e-ravāñ kī kaḌiyāñ
shab ko jo vādiyāñ sunsān rahīñ
sub.h yuuñ os se ārāsta thiiñ
har taraf motiyoñ kī jaise tanī huī laḌiyāñ
raat din silsila-e-umr-e-ravāñ kī kaḌiyāñ
toḌ kar paañv na baiTho aao!
sub.h ke aur qarīb aa jaao!
yuuñ to har haal meñ kaTtī hī raheñgī ghaḌiyāñ
raat din silsila-e-umr-e-ravāñ kī kaḌiyāñ
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
kal jahan ruh jhulas jati thi
apne sae se bhi aanch aati thi
aaj usi dasht pe sawan ki lagi hain jhaDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
shab ko jo wadiyan sunsan rahin
subh yun os se aarasta thin
har taraf motiyon ki jaise tani hui laDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
toD kar panw na baiTho aao!
subh ke aur qarib aa jao!
yun to har haal mein kaTti hi rahengi ghaDiyan
raat din silsila-e-umr-e-rawan ki kaDiyan
- Book : kulliyat-e-ahmad nadiim qaasmii (Pg. 262)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.