git
chalo phir se muskurā.eñ
chalo phir se dil jalā.eñ
jo guzar ga.iiñ haiñ rāteñ
unheñ phir jagā ke laa.eñ
jo bisar ga.iiñ haiñ bāteñ
unheñ yaad meñ bulā.eñ
chalo phir se dil lagā.eñ
chalo phir se muskurā.eñ
kisī shah-nashīñ pe jhalkī
vo dhanak kisī qabā kī
kisī rag meñ kasmasā.ī
vo kasak kisī adā kī
koī harf-e-be-muravvat
kisī kunj-e-lab se phūTā
vo chhanak ke shīsha-e-dil
tah-e-bām phir se TuuTā
ye milan kī nā milan kī
ye lagan kī aur jalan kī
jo sahī haiñ vārdāteñ
jo guzar ga.iiñ haiñ rāteñ
jo bisar ga.ī haiñ bāteñ
koī un kī dhun banā.eñ
koī un kā giit gaa.eñ
chalo phir se muskurā.eñ
chalo phir se dil jalā.eñ
chalo phir se muskuraen
chalo phir se dil jalaen
jo guzar gain hain raaten
unhen phir jaga ke laen
jo bisar gain hain baaten
unhen yaad mein bulaen
chalo phir se dil lagaen
chalo phir se muskuraen
kisi shah-nashin pe jhalki
wo dhanak kisi qaba ki
kisi rag mein kasmasai
wo kasak kisi ada ki
koi harf-e-be-murawwat
kisi kunj-e-lab se phuTa
wo chhanak ke shisha-e-dil
tah-e-baam phir se TuTa
ye milan ki na milan ki
ye lagan ki aur jalan ki
jo sahi hain wardaten
jo guzar gain hain raaten
jo bisar gai hain baaten
koi un ki dhun banaen
koi un ka git gaen
chalo phir se muskuraen
chalo phir se dil jalaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.