gita
go ye novel kā zamāna hai magar aaj bhī dost
is kī azmat meñ koī farq nahīñ aaya hai
is kī ta.alīm nahīñ ek hī maz.hab ke liye
ise paḌh kar sabhī insān mazā lete haiñ
duur karne ke liye dil se jahālat kā hijāb
faiz imkān bhar is se vo uThā lete haiñ
haath un ke kabhī gauhar na lage haiñ na lageñ
tah meñ sāgar kī jo insān nahīñ jā sakte
dekh giitā meñ haiñ mastūr vo anmol ratan
ḳhvāb meñ bhī jinheñ kam-aql nahīñ pā sakte
kis liye ishrat-e-fānī pe miTe jaate ho
raaz hastī kā hai kyā tum ne kabhī sochā hai
pūchh lo jā ke mai-e-ishq ke matvāloñ se
ḳhvāb sā ḳhvāb hai duniyā kī haqīqat kyā hai
jab na ho qaid-e-alā.iq na rahe shor-e-ḳhudī
chain paane lage dil gosha-e-tanhā.ī meñ
to samajh lo ki qarīb aa ga.ī merāj-e-hayāt
lutf milne lage insāñ ko jo yaktā.ī meñ
be-badal ilm-e-ilāhī kā sahīfa hai ye
nāḳhudā kashti-e-dil kā ise jaano samjho
sarfarāzī se jo jiinā hai tumheñ duniyā meñ
is ko apnāo phir o mere vatan ke logo
ahl-e-dil is ko haiñ siine se lagā.e rahte
abadī zaat kā ye tohfa-e-rūhānī hai
is ke aurāq meñ simTā huā vo nuur hai jo
vaqt kī qaid se āzād hai lā-fānī hai
ye vo hiirā hai chamak jis kī nahīñ kam hogī
is kī azmat meñ koī farq nahīñ aa.egā
go ye nowel ka zamana hai magar aaj bhi dost
is ki azmat mein koi farq nahin aaya hai
is ki talim nahin ek hi mazhab ke liye
ise paDh kar sabhi insan maza lete hain
dur karne ke liye dil se jahaalat ka hijab
faiz imkan bhar is se wo uTha lete hain
hath un ke kabhi gauhar na lage hain na lagen
tah mein sagar ki jo insan nahin ja sakte
dekh gita mein hain mastur wo anmol ratan
KHwab mein bhi jinhen kam-aql nahin pa sakte
kis liye ishrat-e-fani pe miTe jate ho
raaz hasti ka hai kya tum ne kabhi socha hai
puchh lo ja ke mai-e-ishq ke matwalon se
KHwab sa KHwab hai duniya ki haqiqat kya hai
jab na ho qaid-e-alaiq na rahe shor-e-KHudi
chain pane lage dil gosha-e-tanhai mein
to samajh lo ki qarib aa gai meraj-e-hayat
lutf milne lage insan ko jo yaktai mein
be-badal ilm-e-ilahi ka sahifa hai ye
naKHuda kashti-e-dil ka ise jaano samjho
sarfaraazi se jo jina hai tumhein duniya mein
is ko apnao phir o mere watan ke logo
ahl-e-dil is ko hain sine se lagae rahte
abadi zat ka ye tohfa-e-ruhani hai
is ke auraq mein simTa hua wo nur hai jo
waqt ki qaid se aazad hai la-fani hai
ye wo hira hai chamak jis ki nahin kam hogi
is ki azmat mein koi farq nahin aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.