gil-e-laj-ward
maiñ sochtā rahā
lekin na koī bhed khulā
tire vajūd ke saa.e meñ
aag sī kyuuñ hai
ye kaisā rañg hai
miTTī meñ jazb ho kar bhī
siyāh raat ke āñchal meñ jagmagātā hai
ki jaise chāñd
samundar meñ Duub jaatā hai
main sochta raha
lekin na koi bhed khula
tere wajud ke sae mein
aag si kyun hai
ye kaisa rang hai
miTTi mein jazb ho kar bhi
siyah raat ke aanchal mein jagmagata hai
ki jaise chand
samundar mein Dub jata hai
- Book : Gil-e-Lajvard (Pg. 89)
- Author : Khaleel Tanveer
- Publication : Al-asr Publications, Ahmedabad (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.