ginti
maiñ apne lawn meñ baiThī huuñ
girte hue pattoñ ko
gin rahī huuñ
apnī uñgliyoñ ko poroñ par
ik, do, tiin
an-ginat patte
maiñ kamre meñ baiThī huuñ
ḳhabreñ sun rahī huuñ
merī gintī meñ shāmil ho jaatī haiñ
vo lāsheñ
jo daraḳhtoñ se nahīñ gir rahī haiñ
lāshoñ kī gintī
pattoñ kī gintī se baḌh jaatī hai
main apne lawn mein baiThi hun
girte hue patton ko
gin rahi hun
apni ungliyon ko poron par
ik, do, tin
an-ginat patte
main kamre mein baiThi hun
KHabren sun rahi hun
meri ginti mein shamil ho jati hain
wo lashen
jo daraKHton se nahin gir rahi hain
lashon ki ginti
patton ki ginti se baDh jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.