gintiyon ki fath
māddī daur ke javānoñ ne
ahd-e-hāzir ke pāsbānoñ ne
gintiyoñ kā banā ke ik lashkar
kar liyā qabza saarī duniyā par
hindise ho ga.e ḳhirad ke naqīb
zarb-o-taqsīm se banī tahzīb
dahr kī rahnumā huī ta.adād
kuchh na baaqī rahā ba-juz a.adād
ādamiyyat kā ġham miTā Daalā
ism ko bhī adad banā Daalā
maddi daur ke jawanon ne
ahd-e-hazir ke pasbanon ne
gintiyon ka bana ke ek lashkar
kar liya qabza sari duniya par
hindise ho gae KHirad ke naqib
zarb-o-taqsim se bani tahzib
dahr ki rahnuma hui tadad
kuchh na baqi raha ba-juz aadad
aadamiyyat ka gham miTa Dala
ism ko bhi adad bana Dala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.