gireban
maiñ ne gulāb ke paude se pūchhā
aaj kal tum par phuul kam aur kāñTe ziyāda aa rahe haiñ
kahne lagā maiñ tumhārā be-dām ġhulām huuñ
in dinoñ tum dushmanī ke kāñTe bone meñ masrūf ho
tumheñ kāñToñ kī zarūrat hai
jis roz tum dostī ke safar par nikaloge
dekhnā maiñ kaise phūloñ ke ambār lagā dūñgā
maiñ ne fāḳhta se kahā
duniyā meñ har taraf bad-amnī phailī hai
vo tumhārī shāḳh-e-zaitūn vo shāḳh-e-amn kahāñ ga.ī
bolī maiñ ne to lā kar tumhāre haath meñ de dī thī
tumhī kahīñ rakh kar bhuul ga.e ho
dekho shāyad tumhārī bandūq kī naalī meñ na paḌī ho
maiñ ne tāroñ bhare āsmān kī taraf hasrat se dekhā
insān ke din kab phireñge
ye qatl-o-ġhārat ye ḳhūn-ḳharāba kab ḳhatm hogā
ye zer-dastoñ kā sabr ye zabardastoñ kā jabr
ye luuT aur jhuuT āḳhir hamāre nasīb meñ kyuuñ likh diye ga.e haiñ
ek sitāra TuuTā
aur mere dil ke taḳhta-e-siyāh par raqam kar gayā
''jhāñk lo apne girebāñ meñ''
main ne gulab ke paude se puchha
aaj kal tum par phul kam aur kanTe ziyaada aa rahe hain
kahne laga main tumhaara be-dam ghulam hun
in dinon tum dushmani ke kanTe bone mein masruf ho
tumhein kanTon ki zarurat hai
jis roz tum dosti ke safar par nikaloge
dekhna main kaise phulon ke ambar laga dunga
main ne faKHta se kaha
duniya mein har taraf bad-amni phaili hai
wo tumhaari shaKH-e-zaitun wo shaKH-e-amn kahan gai
boli main ne to la kar tumhaare hath mein de di thi
tumhi kahin rakh kar bhul gae ho
dekho shayad tumhaari banduq ki nali mein na paDi ho
main ne taron bhare aasman ki taraf hasrat se dekha
insan ke din kab phirenge
ye qatl-o-ghaarat ye KHun-KHaraba kab KHatm hoga
ye zer-daston ka sabr ye zabardaston ka jabr
ye luT aur jhuT aaKHir hamare nasib mein kyun likh diye gae hain
ek sitara TuTa
aur mere dil ke taKHta-e-siyah par raqam kar gaya
jhank lo apne gireban mein
- Book : din kaa phool (Pg. 26)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.