girhen khulti nahin
kaisī girhoñ meñ tār-e-nafas hai ye uljhā huā
saarī peshāniyoñ par lakīroñ kā phailā huā jaal hai
is meñ jakḌī ga.ī
muskurāhaT kahīñ
dhajjiyāñ chaar atrāf uḌne lagīñ
kis kā malbūs hai
har nagar har galī
ḳhauf hī ḳhauf hai
aglī baaī hai kis kī
kisī ko patā tak nahīñ
muñh chhupā.e hue
ta.ane, dushnām sahte haiñ jo ajnabī
apne hī to nahīñ
chār-sū hai rageñ kāTtī zamharīrī huā
sard-mehrī ke barfāb mausam meñ
ThiThure hue hoñT haiñ
aur zabāñ kī rageñ bhī tashannuj se khichne lagīñ
kaisā āseb-e-vahshat hai
kyuuñ sar se Taltā nahīñ
āyateñ bhī hameñ bhuul jaane lagīñ
jibra.īl-e-amīñ
sūratunnās aur al-falaq paḌh ke phūñko
diloñ meñ
aqīdoñ kī girheñ paḌī haiñ
ye ham se to khultī nahīñ!
kaisi girhon mein tar-e-nafas hai ye uljha hua
sari peshaniyon par lakiron ka phaila hua jal hai
is mein jakDi gai
muskurahaT kahin
dhajjiyan chaar atraf uDne lagin
kis ka malbus hai
har nagar har gali
KHauf hi KHauf hai
agli bai hai kis ki
kisi ko pata tak nahin
munh chhupae hue
tane, dushnam sahte hain jo ajnabi
apne hi to nahin
chaar-su hai ragen kaTti zamhariri hua
sard-mehri ke barfab mausam mein
ThiThure hue honT hain
aur zaban ki ragen bhi tashannuj se khichne lagin
kaisa aaseb-e-wahshat hai
kyun sar se Talta nahin
aayaten bhi hamein bhul jaane lagin
jibrail-e-amin
suratunnas aur al-falaq paDh ke phunko
dilon mein
aqidon ki girhen paDi hain
ye hum se to khulti nahin!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.