girl-friend
surma.ī ret kī pagDanDī par
sañg-e-marmar kī chaTānoñ kā dil-āvez shabāb
shaam ke sho.ala-nafas rañg meñ tahlīl huā
haath meñ haath liye baḌhte rahe do saa.e
aur ḳhāmosh chanāroñ kī sulagtī āñkheñ
mahv-e-dīdār rahīñ
do javāñ ḳhvāb, khule jism, barahna jaame
ek hī lai meñ dhaḌakte hue do hañgāme
jaam the haath meñ donoñ ke magar ā.ankhoñ meñ
ek machlā huā armān thā mad-hoshī kā
kyā junūñ-ḳhez nazāra thā ham-āġhoshī kā
lazzat-e-vasl se sarshār the dīvāne do
daf.atan duur jūñhī shaam Dhale diip jale
koī bikhrī huī zulfoñ ko jhaTak kar bolā
mujh ko milnā hai kisī aur se bhī jaane do
surmai ret ki pagDanDi par
sang-e-marmar ki chaTanon ka dil-awez shabab
sham ke shoala-nafas rang mein tahlil hua
hath mein hath liye baDhte rahe do sae
aur KHamosh chanaron ki sulagti aankhen
mahw-e-didar rahin
do jawan KHwab, khule jism, barahna jame
ek hi lai mein dhaDakte hue do hangame
jam the hath mein donon ke magar aaankhon mein
ek machla hua arman tha mad-hoshi ka
kya junun-KHez nazara tha ham-aghoshi ka
lazzat-e-wasl se sarshaar the diwane do
dafatan dur junhi sham Dhale dip jale
koi bikhri hui zulfon ko jhaTak kar bola
mujh ko milna hai kisi aur se bhi jaane do
- Book : Khushbu Ka Khwab (Pg. 91)
- Author : Prem Warbartani
- Publication : Miss V. D. Kakkad (1976)
- Edition : 1976
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.