girta hua daraKHt
kyā vo bhī
kabhī thā
haañ vo thā
ek chhoTā sā biij
ek din
zamīn se bāhar aayā
pal pal baḌhtā rahā
pal pal tarastā rahā
rihā.ī ke liye
lekin
rihā.ī har kisī ko nahīñ miltī
vo ek hī jagah
khaḌā huā
baḌhtā hī chalā gayā
kyā is ne phal diye?
nahīñ
lekin vo
phal dene ke qābil bin gayā
ek din
bahut zor kā tūfān aayā
sab kuchh ukhāḌ ke le gayā
kyā use bhii?
haañ use bhii...
ka.ī din udāsī rahī
āḳhir
kitne din
ek din sab kuchh
phir se vaisā hī ho gayā
lekin
us daraḳht kī jagah
kabhī na bhar sakī
us daraḳht jaisā
koī nahīñ ho saktā
us ke phaloñ kī tamannā
aaj bhī kahīñ dafan hai
us ke sūkhe patte
aaj bhī
merī yādoñ meñ uḌte haiñ
yaad hai
us kā girnā bhī
us ke kitne ḳhvāb hoñge
kitnī ḳhvāhisheñ hoñgī
kuchh banñe kī
tamannā thī
vo bhī jiinā chāhtā thā
vaqt ne
jiine nahīñ diyā use
kuchh banñe nahīñ diyā use
us daraḳht kī chhāñv merī thī
maiñ
ek parinde kī sūrat
use talāsh kar rahī huuñ
merā āshiyāna
us daraḳht kī ek Tahnī par thā
kya wo bhi
kabhi tha
han wo tha
ek chhoTa sa bij
ek din
zamin se bahar aaya
pal pal baDhta raha
pal pal tarasta raha
rihai ke liye
lekin
rihai har kisi ko nahin milti
wo ek hi jagah
khaDa hua
baDhta hi chala gaya
kya is ne phal diye?
nahin
lekin wo
phal dene ke qabil bin gaya
ek din
bahut zor ka tufan aaya
sab kuchh ukhaD ke le gaya
kya use bhi?
han use bhi
kai din udasi rahi
aaKHir
kitne din
ek din sab kuchh
phir se waisa hi ho gaya
lekin
us daraKHt ki jagah
kabhi na bhar saki
us daraKHt jaisa
koi nahin ho sakta
us ke phalon ki tamanna
aaj bhi kahin dafan hai
us ke sukhe patte
aaj bhi
meri yaadon mein uDte hain
yaad hai
us ka girna bhi
us ke kitne KHwab honge
kitni KHwahishen hongi
kuchh banne ki
tamanna thi
wo bhi jina chahta tha
waqt ne
jine nahin diya use
kuchh banne nahin diya use
us daraKHt ki chhanw meri thi
main
ek parinde ki surat
use talash kar rahi hun
mera aashiyana
us daraKHt ki ek Tahni par tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.