girya
tumhāre dukh ne
mere andar ek shahr-e-mātam daryāft kiyā
jahāñ har roz mere janm par jashn-e-girya manāyā jaatā hai
tum apnī hañsī kā tohfa
kaalī īñToñ se banā.e ga.e us taaq
meñ rakh do
jahāñ charāġh kī ḳhāmoshī
aur raat kī siskiyāñ sāñpoñ kī tarah
sarsarātī haiñ
hāñ!! sāñpoñ se yaad aayā
aaj sāñpoñ se visāl kī raat hai
aañsū ḳhushk haiñ ġhusl kaise karūñ?
mere zaḳhmoñ se girne vaale kiiḌe
mere saa.e se baḌe ho rahe haiñ
mujhe apnī nigahbānī kā mat kaho
maiñ to ḳhud apnī hifāzat meñ chorī ho jaatā huuñ
shiryānoñ ke sad-rāhe par lahū rāsta
bhuul gayā hai
shahr mujhe merī aañkh se nahīñ dekhtā
ā.īna mujh par nigāh paḌte hī be-aks ho jaatā hai
dekho....
raat ke kashkol meñ
ek nigāh kī bhiik bhī nahīñ
puure chāñd ko tanhā.ī ne toḌ Daalā
ab us kī kirchiyāñ merī ashtray
meñ paḌī haiñ
kaho ki kyā kahūñ?
āvāzoñ ke nīlām-ghar meñ mujhe to
chup lag jaatī hai!
tumhaare dukh ne
mere andar ek shahr-e-matam daryaft kiya
jahan har roz mere janm par jashn-e-girya manaya jata hai
tum apni hansi ka tohfa
kali inTon se banae gae us taq
mein rakh do
jahan charagh ki KHamoshi
aur raat ki siskiyan sanpon ki tarah
sarsaraati hain
han!! sanpon se yaad aaya
aaj sanpon se visal ki raat hai
aansu KHushk hain ghusl kaise karun?
mere zaKHmon se girne wale kiDe
mere sae se baDe ho rahe hain
mujhe apni nigahbani ka mat kaho
main to KHud apni hifazat mein chori ho jata hun
shiryanon ke sad-rahe par lahu rasta
bhul gaya hai
shahr mujhe meri aankh se nahin dekhta
aaina mujh par nigah paDte hi be-aks ho jata hai
dekho
raat ke kashkol mein
ek nigah ki bhik bhi nahin
pure chand ko tanhai ne toD Dala
ab us ki kirchiyan meri ashtray
mein paDi hain
kaho ki kya kahun?
aawazon ke nilam-ghar mein mujhe to
chup lag jati hai!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 52)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.