girya-e-sagan
jab kutte raat ko rote haiñ
to aksar log samajhte haiñ
kuchh aisā hone vaalā hai
jo ham ne ab tak sochā thā na hī samjhā thā
jo honā thā vo kab kā lekin ho bhī chukā
ye shahr jalā
is shahr meñ raushan hañste baste ghar the ka.ī
sab raakh hue
aur un ke makīñ
kuchh qatl hue
kuchh jaan bachā kar bhaag ga.e
jo bā-ismat thiiñ
rusvā.ī kī ḳhaak oḌh ke rāhguzar par baiThī haiñ
kuchh beva haiñ
kuchh pā-basta rishtoñ kī vahshat sahtī haiñ
kuchh adh-nañge bhūke bachche
din bhar āvāra phirte haiñ
har jānib mujrim hī mujrim
un meñ se kuchh haiñ pesha-var
kuchh siikh rahe haiñ jurm ke fan ke raaz na.e asrār na.e
jo honā thā ye sach hai us meñ se to bahut kuchh ho bhī chukā
lekin shāyad kuchh aur bhī hone vaalā hai
kutte to āḳhir kutte haiñ
din bhar kachre ke Dheroñ par
vo maare maare phirte haiñ
jab raat utarne lagtī haiñ
aane vaale dushman-mausam kī dahshat se
sab mil kar rone lagte haiñ
jab kutte raat ko rote hain
to aksar log samajhte hain
kuchh aisa hone wala hai
jo hum ne ab tak socha tha na hi samjha tha
jo hona tha wo kab ka lekin ho bhi chuka
ye shahr jala
is shahr mein raushan hanste baste ghar the kai
sab rakh hue
aur un ke makin
kuchh qatl hue
kuchh jaan bacha kar bhag gae
jo ba-ismat thin
ruswai ki KHak oDh ke rahguzar par baiThi hain
kuchh bewa hain
kuchh pa-basta rishton ki wahshat sahti hain
kuchh adh-nange bhuke bachche
din bhar aawara phirte hain
har jaanib mujrim hi mujrim
un mein se kuchh hain pesha-war
kuchh sikh rahe hain jurm ke fan ke raaz nae asrar nae
jo hona tha ye sach hai us mein se to bahut kuchh ho bhi chuka
lekin shayad kuchh aur bhi hone wala hai
kutte to aaKHir kutte hain
din bhar kachre ke Dheron par
wo mare mare phirte hain
jab raat utarne lagti hain
aane wale dushman-mausam ki dahshat se
sab mil kar rone lagte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.