girya-e-tahayyur
baḌā hī pyārā lage hai ye tifl-e-girya-kunāñ
kisī khilaune ke chhinne pe ro rahā hai bahut
sitāra āñkhoñ meñ motī chamak rahe haiñ bahut
hai apne kārgar-e-hastī meñ mahv-e-rāh
mile jo mohlat-e-masrūfiyat to dekhe use
abhī vo aa.egī aur be-qarār ho ke use
uThā ke bāñhoñ ke halqe meñ pyaar kar legī
phir apne malgaje āñchal meñ us ke āñsūoñ ko
vo jaise salmā sitāre kī tarah Tāñkegī
haiñ merī āñkhoñ meñ kab se sitāre raqs-kunāñ
baḌī ummīd se maiñ āsmān taktī rahī
vo apne kār-e-jahāñ meñ lagā huā hai magar
agar vo aa nahīñ saktā to itnā hī kar de
mirī talab ko vahīñ se vo be-talab kar de
mire savāl kī tāqat ko chhīn le mujh se
maiñ thak chukī huuñ tahayyur kī āh-o-zārī se
baDa hi pyara lage hai ye tifl-e-girya-kunan
kisi khilaune ke chhinne pe ro raha hai bahut
sitara aankhon mein moti chamak rahe hain bahut
hai apne kargar-e-hasti mein mahw-e-rah
mile jo mohlat-e-masrufiyat to dekhe use
abhi wo aaegi aur be-qarar ho ke use
uTha ke banhon ke halqe mein pyar kar legi
phir apne malgaje aanchal mein us ke aansuon ko
wo jaise salma sitare ki tarah Tankegi
hain meri aankhon mein kab se sitare raqs-kunan
baDi ummid se main aasman takti rahi
wo apne kar-e-jahan mein laga hua hai magar
agar wo aa nahin sakta to itna hi kar de
meri talab ko wahin se wo be-talab kar de
mere sawal ki taqat ko chhin le mujh se
main thak chuki hun tahayyur ki aah-o-zari se
- Book : ردائے ہجر (Pg. 162)
- Author : تسنیم عابدی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.