glacier
ye hujūm-e-rang-o-bū
ye hangāma-e-hayāt
ye tamāshā-e-roz-o-shab
koī bāzīcha-e-atfāl ho ki na ho
ḳhvāb kisī dīvāne kā ho ki na ho
magar
ek glacier hai dev-qāmat sā
pāniyoñ pe samundaroñ ke
tairtā huā aan se shaan se
Duubā Duubā sā
ubhrā ubhrā sā
be-nām bastiyoñ se aatā hai
aur bahtā rahtā hai dhīre-dhīre
an-dekhī manziloñ kī taraf
magar
garmī-e-qurb-e-nishān-e-manzil se
chaTaḳh jaatā hai
pighal jaatā hai
phir pāniyoñ se mil kar ho jaatā hai pānī-pānī
be-rang-o-bū be-nām dard
ye hujum-e-rang-o-bu
ye hangama-e-hayat
ye tamasha-e-roz-o-shab
koi bazicha-e-atfal ho ki na ho
KHwab kisi diwane ka ho ki na ho
magar
ek glacier hai dew-qamat sa
paniyon pe samundaron ke
tairta hua aan se shan se
Duba Duba sa
ubhra ubhra sa
be-nam bastiyon se aata hai
aur bahta rahta hai dhire-dhire
an-dekhi manzilon ki taraf
magar
garmi-e-qurb-e-nishan-e-manzil se
chaTaKH jata hai
pighal jata hai
phir paniyon se mil kar ho jata hai pani-pani
be-rang-o-bu be-nam dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.