globalization
ka.ī sadī kī mashaqqat pe fikrmand hue
ḳhayāl-e-yār fazāoñ ke dard-mañd hue
shu.ūr fikr se sargoshiyoñ meñ kahne lage
abhī to qudratī vasā.il kī shanāsā.ī hai
abhī to lab pe ka.ī nuqra.ī sadā.eñ haiñ
abhī to aadmī ko aadmī pahchāntā hai
abhī to mausamoñ kī rañgateñ nahīñ badlīñ
shu.ūr fikar se sargoshiyoñ meñ kahne lage
abhī to shams ke māthe pe koī bal bhī nahīñ
abhī to chāñd kī hai.at bhī hū-ba-hū hai vahī
abhī to ahl-e-fan ke haath bhī salāmat haiñ
abhī to zehn meñ ḳhush-hāl soch raqsāñ haiñ
shu.ūr fikr se sargoshiyoñ meñ kahne lage
abhī bhī lab pe muskurāhaToñ kī aas liye
ba-zāhir daur-e-nau ke naġhme gungunāte hue
abhī bhī sāhil-e-dariyā pe zulf khole hue
mire ḳhayāl kī sargoshiyāñ ye kahtī haiñ
ka.ī sadī kī mashaqqat pe zarb kar degā
nayā saverā hameñ sharmsār kar degā
kai sadi ki mashaqqat pe fikrmand hue
KHayal-e-yar fazaon ke dard-mand hue
shuur fikr se sargoshiyon mein kahne lage
abhi to qudrati wasail ki shanasai hai
abhi to lab pe kai nuqrai sadaen hain
abhi to aadmi ko aadmi pahchanta hai
abhi to mausamon ki rangaten nahin badlin
shuur fikar se sargoshiyon mein kahne lage
abhi to shams ke mathe pe koi bal bhi nahin
abhi to chand ki haiat bhi hu-ba-hu hai wahi
abhi to ahl-e-fan ke hath bhi salamat hain
abhi to zehn mein KHush-haal soch raqsan hain
shuur fikr se sargoshiyon mein kahne lage
abhi bhi lab pe muskurahaTon ki aas liye
ba-zahir daur-e-nau ke naghme gungunate hue
abhi bhi sahil-e-dariya pe zulf khole hue
mere KHayal ki sargoshiyan ye kahti hain
kai sadi ki mashaqqat pe zarb kar dega
naya sawera hamein sharmsar kar dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.