gomti
mere bachpan kī mirī pyārī sahelī gomtī
tujh pe kyā guzrī hai ki tū yuuñ simaT kar rah ga.ī
vo tirī maddham suroñ meñ ḳhush-bayānī kyā huī
vo tirī be-sāḳhta tarz-e-ravānī kyā huī
shoḳhī-e-raftār par terī fidā thā lucknow
har qadam par kah rahā nām-e-ḳhudā thā lucknow
kab bhalā apnī hadoñ meñ is tarah bahtī thī tū
be-ḳhudī meñ sab kināre toḌtī rahtī thī tū
lucknow vaale tire andāz ke dīvāne the
sham.a ke mānind thī tū sab tire parvāne the
tere alhaḌ-pan kī vo be-sāḳhta mastāna chaal
jaise aa jaa.e qalandar ko kisī mahfil meñ haal
jab kabhī lahreñ sharārat par tirī aa jaatī thiiñ
darmiyān-e-shahr bhī tab kashtiyāñ chal jaatī thiiñ
shahar se bāhar thī terī tez-raftārī fuzūñ
ghūmtī aur moḌtī rahtī thī apnī chaal tū
nīmā-e-shābān kī rātoñ meñ ārā.ish tirī
tairte bajroñ se raushan husn-o-zebā.ish tirī
raushnī se maañg meñ afshāñ bhare rahnā tirā
donoñ jānib zulf kā saaya kiye bahnā tirā
husn kā tere ujālā thā avadh kī shaam meñ
dilkashī terī thī saarī lucknow ke naam meñ
shahar kī saarī kasāfat yuuñ chhupā letī thī tū
zaḳhm-e-dil par reshmī āñchal uḌhā detī thī tū
oḌhnī āb-e-ravāñ kī pheñktī rahtī thī tū
raqs kartī girtī paḌtī bhāgtī chaltī thī tū
tere fitrī raqs ko zanjīr-e-pā kis ne kiyā
husn-e-be-parvā ko pāband-e-hayā kis ne kiyā
kyoñ zamāne ke sitam is tarah tū sahne lagī
āñsuoñ kī nahar ke saath kyoñ bahne lagī
mere bachpan ki meri pyari saheli gomti
tujh pe kya guzri hai ki tu yun simaT kar rah gai
wo teri maddham suron mein KHush-bayani kya hui
wo teri be-saKHta tarz-e-rawani kya hui
shoKHi-e-raftar par teri fida tha lucknow
har qadam par kah raha nam-e-KHuda tha lucknow
kab bhala apni hadon mein is tarah bahti thi tu
be-KHudi mein sab kinare toDti rahti thi tu
lucknow wale tere andaz ke diwane the
shama ke manind thi tu sab tere parwane the
tere alhaD-pan ki wo be-saKHta mastana chaal
jaise aa jae qalandar ko kisi mahfil mein haal
jab kabhi lahren shararat par teri aa jati thin
darmiyan-e-shahr bhi tab kashtiyan chal jati thin
shahar se bahar thi teri tez-raftari fuzun
ghumti aur moDti rahti thi apni chaal tu
nima-e-shaban ki raaton mein aaraish teri
tairte bajron se raushan husn-o-zebaish teri
raushni se mang mein afshan bhare rahna tera
donon jaanib zulf ka saya kiye bahna tera
husn ka tere ujala tha awadh ki sham mein
dilkashi teri thi sari lucknow ke nam mein
shahar ki sari kasafat yun chhupa leti thi tu
zaKHm-e-dil par reshmi aanchal uDha deti thi tu
oDhni aab-e-rawan ki phenkti rahti thi tu
raqs karti girti paDti bhagti chalti thi tu
tere fitri raqs ko zanjir-e-pa kis ne kiya
husn-e-be-parwa ko paband-e-haya kis ne kiya
kyon zamane ke sitam is tarah tu sahne lagi
aansuon ki nahar ke sath kyon bahne lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.