goshe
chalo na is kohnagī ko taj kar
hayāt ke is vasī.a jañgal
meñ aaise goshe talāsh kar leñ
jo sālhā-sāl tak bashar kī amiiq nazroñ se bach rahe haiñ
guzarte lamhoñ kī gard kī tah meñ dab ga.e haiñ
hai jin meñ imkān zindagī kā
hai jin meñ imkān raushnī kā
qadīm goshe jo jiddatoñ ke amiin bhī haiñ
chalo na is kohnagi ko taj kar
hayat ke is wasia jangal
mein aaise goshe talash kar len
jo salha-sal tak bashar ki amiq nazron se bach rahe hain
guzarte lamhon ki gard ki tah mein dab gae hain
hai jin mein imkan zindagi ka
hai jin mein imkan raushni ka
qadim goshe jo jiddaton ke amin bhi hain
- Book : khamoshi bol uthi hai (Pg. 182)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.