goshwara
ek nazm
vaqt kī jeb kaaTī ga.ī aur churā.ī huī sā.ateñ
zindagānī ke nīlām-ghar meñ mohabbat kī utran kā bhaav
chukāne meñ ḳharchī ga.iiñ
ham ne fursat kā sonā luTā kar
vo rishte ḳharīde
jinheñ ghar ke sandūqche kā
tahaffuz mayassar nahīñ aa sakā
kab talak aise rishte girah meñ liye ghūmnā
be-ḳhayālī meñ tabdīl hote hue pairahan meñ
kisī din ye sāmān rah jā.egā
dil ke kone meñ matrūk chīzoñ ke
bikhre hue Dher par
cigaretoñ se udhārā dhuāñ khīñch kar
be-nishānī kī chādar chaḌhāne ko jitnā samay chāhiye
vo hathelī kī uljhī lakīroñ se laḌne meñ lag jā.egā
in ḳhayāloñ kī lā-yāniyat
surḳh āñkhoñ meñ ghulte hue be-vaj.h rat-jagoñ
phephaḌoñ meñ utarte hue zahr meñ dafn hai
jaise gaañv se aaya huā ik musāfir
baḌe shahr meñ
oh baḌe shahr se yaad aaya
savā tiin bajne ko haiñ in churā.ī huī sā.atoñ se agar kuchh bachā hai use poTlī meñ rakho
apne lafzoñ kā ḳhvāncha uThāo sadā.eñ lagāo
chalo kaam kā vaqt hai
ek nazm
waqt ki jeb kaTi gai aur churai hui saaten
zindagani ke nilam-ghar mein mohabbat ki utran ka bhaw
chukane mein KHarchi gain
hum ne fursat ka sona luTa kar
wo rishte KHaride
jinhen ghar ke sanduqche ka
tahaffuz mayassar nahin aa saka
kab talak aise rishte girah mein liye ghumna
be-KHayali mein tabdil hote hue pairahan mein
kisi din ye saman rah jaega
dil ke kone mein matruk chizon ke
bikhre hue Dher par
cigareton se udhaara dhuan khinch kar
be-nishani ki chadar chaDhane ko jitna samay chahiye
wo hatheli ki uljhi lakiron se laDne mein lag jaega
in KHayalon ki la-yaniyat
surKH aankhon mein ghulte hue be-wajh rat-jagon
phephaDon mein utarte hue zahr mein dafn hai
jaise ganw se aaya hua ek musafir
baDe shahr mein
oh baDe shahr se yaad aaya
sawa tin bajne ko hain in churai hui saaton se agar kuchh bacha hai use poTli mein rakho
apne lafzon ka KHwancha uThao sadaen lagao
chalo kaam ka waqt hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.