gothic lady
Interesting Fact
(گورنمنٹ کالج لاہور کے نام)
ūñchī ūñchī surḳh fasīleñ
jin ke andar ḳhvāb kī duniyā
resham jaise komal chehre
armānoñ kī dhuup meñ chalte
ik duuje ke dil ke andar
'ishq ke daane bo jaate haiñ
ik duuje ke ho jaate haiñ
chāroñ jānib dil ke raste
girja-ghar sī ek 'imārat
jis kī chhat par
parnāle haiñ
sher ke jaise
ek baḌā mīnār jo ab bhī
kuchh hāthoñ par jhuk kar qismat
sau sāloñ se dekh rahā hai
dekh rahā hai mil kar baiThe un joḌoñ ko
jo kuchh 'arse baa'd mileñ to
ik duuje se aañkh churā.eñ
maiñ ne us ke darvāze par
ik laḌkī kā māthā chūmā
dekho merā kyā bantā hai
unchi unchi surKH fasilen
jin ke andar KHwab ki duniya
resham jaise komal chehre
armanon ki dhup mein chalte
ek duje ke dil ke andar
'ishq ke dane bo jate hain
ek duje ke ho jate hain
chaaron jaanib dil ke raste
girja-ghar si ek 'imarat
jis ki chhat par
parnale hain
sher ke jaise
ek baDa minar jo ab bhi
kuchh hathon par jhuk kar qismat
sau salon se dekh raha hai
dekh raha hai mil kar baiThe un joDon ko
jo kuchh 'arse ba'd milen to
ek duje se aankh churaen
main ne us ke darwaze par
ek laDki ka matha chuma
dekho mera kya banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.