Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ghubbare wale ka git

Ahmad Wasi

ghubbare wale ka git

Ahmad Wasi

MORE BYAhmad Wasi

    aao bachcho aao bachcho

    chhuTe paise laao bachcho

    rañg birañge phuul khile haiñ mere ġhubbāre haiñ

    jaise tum pyāre pyāre ho ye bhī pyāre pyāre haiñ

    na.ī adā se na.ī shaan se idhar-udhar lahrāte haiñ

    qudrat rañgīnī meñ ye aur bhī rañg milāte haiñ

    mast fazāoñ meñ bachchoñ ke ye ma.asūm ishāre haiñ

    rañg birañge phuul khile haiñ mere ġhubbāre haiñ

    jitnī lambī Dor ho in ye utne ūñche jaa.eñ

    niil gagan meñ uḌ ke damkeñ duur se ham sab ko lalchā.eñ

    tum ho is dhartī ke taare ye ākāsh ke taare haiñ

    rañg birañge phuul khile haiñ mere ġhubbāre haiñ

    niile piile kaale ujle sañg sañg rahte haiñ

    mil-jul kar ik saath raho sab ye duniyā se kahte haiñ

    in ye paiġhām hai jag ke saare log hamāre haiñ

    rañg birañge phuul khile haiñ mere ġhubbāre haiñ

    jaise tum pyāre pyāre ho ye bhī pyāre pyāre haiñ

    aao bachcho aao bachcho

    chhuTe paise lao bachcho

    rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain

    jaise tum pyare pyare ho ye bhi pyare pyare hain

    nai ada se nai shan se idhar-udhar lahraate hain

    qudrat ki rangini mein ye aur bhi rang milate hain

    mast fazaon mein bachchon ke ye masum ishaare hain

    rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain

    jitni lambi Dor ho in ki ye utne hi unche jaen

    nil gagan mein uD ke damken dur se hum sab ko lalchaen

    tum ho is dharti ke tare ye aakash ke tare hain

    rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain

    nile pile kale ujle sang sang hi rahte hain

    mil-jul kar ek sath raho sab ye duniya se kahte hain

    in ka ye paigham hai jag ke sare log hamare hain

    rang birange phul khile hain ya mere ghubbare hain

    jaise tum pyare pyare ho ye bhi pyare pyare hain

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now