Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

guDDe miyan ka sehra

Mohammad Shafiuddin Nayyar

guDDe miyan ka sehra

Mohammad Shafiuddin Nayyar

MORE BYMohammad Shafiuddin Nayyar

    Interesting Fact

    There was a project called "Gudiya Ka Byaah" in the educational center of Jamia Millia Islamia. This a marriage song of 'Gudde Miyan' was written in the same ceremony. The kids loved it.

    guDDe miyāñ ne bāñdhā hai sahrā

    dekho to kaisā achchhā hai sahrā

    guḌiyā dulhan hai dūlhā hai guDDā

    dūlhā dulhan pyārā hai sahrā

    phūloñ ḳhushbū phailī huī hai

    mahfil meñ saarī mahkā hai sahrā

    phūloñ laḌiyāñ phūloñ jhaḌiyāñ

    ḳhushiyoñ ghaḌiyāñ laayā hai sahrā

    chāñd aur sūraj is par fidā haiñ

    tāroñ ko dil se bhāyā hai sahrā

    bachche bhī ḳhush haiñ ḳhush haiñ baḌe bhī

    ḳhushiyoñ shāyad tohfa hai sahrā

    guDDe miyāñ shādī rachī hai

    'nayyar' bhī likh kar laayā hai sahrā

    guDDe miyan ne bandha hai sahra

    dekho to kaisa achchha hai sahra

    guDiya dulhan hai dulha hai guDDa

    dulha dulhan ka pyara hai sahra

    phulon ki KHushbu phaili hui hai

    mahfil mein sari mahka hai sahra

    phulon ki laDiyan phulon ki jhaDiyan

    KHushiyon ki ghaDiyan laya hai sahra

    chand aur suraj is par fida hain

    taron ko dil se bhaya hai sahra

    bachche bhi KHush hain KHush hain baDe bhi

    KHushiyon ka shayad tohfa hai sahra

    guDDe miyan ki shadi rachi hai

    'nayyar' bhi likh kar laya hai sahra

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now