guDDe miyan ki shadi
guDDe miyāñ kī shādī
har ik samt gūñje hue qahqahe
hañsī dil-lagī zamzame chahchahe
zamīñ muskurā āsmāñ ḳhuub jhuum
ki baaqī nagar meñ hai shādī kī dhuum
yahāñ mehmāñ aur vahāñ mehmāñ
jidhar dekhiye aur jahāñ mehmāñ
ġharaz mehmāñ aa.e haiñ be-shumār
ki muddat se is din kā thā intizār
nausha banāne kī rasm
vo guDDe miyāñ ghar bulā.e ga.e
biThā kar vo nausha banā.e ga.e
hathelī pe mehñdī rachā.ī ga.ī
vo nausha ko achkan pahnā.ī ga.ī
vo gaañv kā maalī 'atīq' aa gayā
vo sarsoñ ke phūloñ kā sahrā bañdhā
har ik rasm se jab farāġhat huī
to mirchoñ ke phūloñ kī baddhī paḌī
vo ham-joliyoñ meñ lagā qahqaha
marāsan jo ban kar uThīñ 'hāshima'
marāsan bhī Dholak bajāne lagī
ḳhushī ke tarāne sunāne lagī
marāsan ko muñh māñgā haq jab milā
ba-mushkil marāsan se pīchhā chhuTā
bārāt kī ravāngī
vo nausha miyāñ pahne goTe kā haar
chale ek meñDhe pe ho kar savār
chhanā-chhan chhanā-chhan barātī chale
patīlī ke dhakne bajāte hue
vo 'annū' gavayyā bhī gaatā huā
fazāoñ meñ tāneñ uḌātā huā
na.ī zindagānī mubārak rahe
mubārak ye shādī mubārak rahe
bārāt dulhan ke makān pahuñch chukī ab nikāh kā vaqt hai
'qamar' haiñ vakīl aur 'aqīla' gavāh
'surayyā' kī guḌiyā kā dekho byaah
vo 'raziya' ko qaazī banāyā gayā
vo nausha ko mahfil meñ laayā gayā
vo qaazī varaq ik ulaTne lage
barātī sab ik jā simaTne lage
qaazī jī nikāh paḌhāte haiñ
musammāt-e-gul duḳhtar-e-shaiḳh 'ḳhār'
ba-mahr-e-muajjal bayāsī hazār
gulistāñ kā motī samundar kā phuul
kaho bhaa.ī guDDe ye shādī qubūl
chhohāroñ kī taqsīm
paḌhā kar uThe jaise qaazī nikāh
kisī ne chhohāroñ kī de dī salāh
chhohāroñ kī thālī luTā.ī ga.ī
shakar bhī maze le ke khaa.ī ga.ī
kisī ne chhohāroñ se Topī bharī
shakar bhī kahīñ ḳhuub phāñkī ga.ī
magar ek sāhab kamand-e-havā
kaheñ kis se apnā ajab mājrā
ye har chand bachpan ke hushiyār the
chhohāroñ kī luTTas pe tayyār the
magar bhiiḌ meñ aise kuchh ye dabe
ki har paañv ke nīche kuchle ga.e
paTā-paT chhohāre baraste rahe
magar ye bichāre taraste rahe
koī naak par koī sar par lagā
magar un ke muñh tak na koī gayā
shakar aañkh aur kaan meñ ghus ga.ī
bichāre kī puurī hī durgat banī
natīja ye sab jald-bāzī kā thā
ki in kā maza kirkirā ho gayā
dulhan kī ruḳhsatī
vo chhoTā sā ik box laayā gayā
miyāna jise thā banāyā gayā
savārī ye dulhan kī thī aa ga.ī
vo baiThī dulhan vo huī ruḳhsatī
kahār apne kāñdhe badalte chale
miyāne pe dūlhā kī dulhan liye
kuḌum-dhum kuḌum-dhum chalī phir barāt
lagī gūñjne gaane baaje se raat
anaar aur chhachhūñdar chhuTāte hue
nichhāvar ke paise luTāte hue
sahar hote hote makāñ aa ga.e
dulhan le ke guDDe miyāñ aa ga.e
bārāt vāpas aa kar
yahī mehmānoñ meñ hai guftugū
ki dūlhan hai be-shak baḌī ḳhūb-rū
salīqe ke sasurāl vaale bhī haiñ
dikhāvā nahīñ maal vaale bhī haiñ
ye sardī kī sub.h aur sardī kī shaam
magar qābil-e-dād har intizām
ye bartan ye kapḌe ye kursī ye mez
milā hai bahut ḳhūbsūrat jahez
sadā phir vo 'annū' kī aane lagī
fazāoñ meñ mastī luTāne lagī
na.ī zindagānī mubārak rahe
mubārak ye shādī mubārak rahe
guDDe miyan ki shadi
har ek samt gunje hue qahqahe
hansi dil-lagi zamzame chahchahe
zamin muskura aasman KHub jhum
ki baqi nagar mein hai shadi ki dhum
yahan mehman aur wahan mehman
jidhar dekhiye aur jahan mehman
gharaz mehman aae hain be-shumar
ki muddat se is din ka tha intizar
nausha banane ki rasm
wo guDDe miyan ghar bulae gae
biTha kar wo nausha banae gae
hatheli pe mehndi rachai gai
wo nausha ko achkan pahnai gai
wo ganw ka mali 'atiq' aa gaya
wo sarson ke phulon ka sahra bandha
har ek rasm se jab faraghat hui
to mirchon ke phulon ki baddhi paDi
wo ham-joliyon mein laga qahqaha
marasan jo ban kar uThin 'hashima'
marasan bhi Dholak bajaane lagi
KHushi ke tarane sunane lagi
marasan ko munh manga haq jab mila
ba-mushkil marasan se pichha chhuTa
baraat ki rawangi
wo nausha miyan pahne goTe ka haar
chale ek meinDhe pe ho kar sawar
chhana-chhan chhana-chhan baraati chale
patili ke dhakne bajate hue
wo 'annu' gawayya bhi gata hua
fazaon mein tanen uData hua
nai zindagani mubarak rahe
mubarak ye shadi mubarak rahe
baraat dulhan ke makan pahunch chuki ab nikah ka waqt hai
'qamar' hain wakil aur 'aqila' gawah
'surayya' ki guDiya ka dekho byah
wo 'raziya' ko qazi banaya gaya
wo nausha ko mahfil mein laya gaya
wo qazi waraq ek ulaTne lage
baraati sab ek ja simaTne lage
qazi ji nikah paDhate hain
musammat-e-gul duKHtar-e-shaiKH 'KHar'
ba-mahr-e-muajjal bayasi hazar
gulistan ka moti samundar ka phul
kaho bhai guDDe ye shadi qubul
chhohaaron ki taqsim
paDha kar uThe jaise qazi nikah
kisi ne chhohaaron ki de di salah
chhohaaron ki thaali luTai gai
shakar bhi maze le ke khai gai
kisi ne chhohaaron se Topi bhari
shakar bhi kahin KHub phanki gai
magar ek sahab kamand-e-hawa
kahen kis se apna ajab majra
ye har chand bachpan ke hushiyar the
chhohaaron ki luTTas pe tayyar the
magar bhiD mein aise kuchh ye dabe
ki har panw ke niche kuchle gae
paTa-paT chhohaare baraste rahe
magar ye bichaare taraste rahe
koi nak par koi sar par laga
magar un ke munh tak na koi gaya
shakar aankh aur kan mein ghus gai
bichaare ki puri hi durgat bani
natija ye sab jald-bazi ka tha
ki in ka maza kirkira ho gaya
dulhan ki ruKHsati
wo chhoTa sa ek box laya gaya
miyana jise tha banaya gaya
sawari ye dulhan ki thi aa gai
wo baiThi dulhan wo hui ruKHsati
kahaar apne kandhe badalte chale
miyane pe dulha ki dulhan liye
kuDum-dhum kuDum-dhum chali phir baraat
lagi gunjne gane baje se raat
anar aur chhachhundar chhuTate hue
nichhawar ke paise luTate hue
sahar hote hote makan aa gae
dulhan le ke guDDe miyan aa gae
baraat wapas aa kar
yahi mehmanon mein hai guftugu
ki dulhan hai be-shak baDi KHub-ru
saliqe ke sasural wale bhi hain
dikhawa nahin mal wale bhi hain
ye sardi ki subh aur sardi ki sham
magar qabil-e-dad har intizam
ye bartan ye kapDe ye kursi ye mez
mila hai bahut KHubsurat jahez
sada phir wo 'annu' ki aane lagi
fazaon mein masti luTane lagi
nai zindagani mubarak rahe
mubarak ye shadi mubarak rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.