guDiya ki shadi
mirī guḌiyā kisī din chāñd par shādī rachā.egī
zamīñ ke to sabhī guDDe nazar aate haiñ ab buDDhe
bahut hī ḳhūbsūrat naujavāñ haiñ chāñd ke guDDe
unhīñ meñ se kisī ke ghar mirī guḌiyā bhī jā.egī
mirī guḌiyā kisī din chāñd par shādī rachā.egī
farishte āsmānoñ se barātī ban ke ā.eñge
sitāre rāste meñ nuur kī chādar bichhā.eñge
ḳhushī se jhuum kar har huur shahnā.ī bajā.egī
mirī guḌiyā kisī din chāñd par shādī rachā.egī
hasīñ kirnoñ se raushan chāñdnī kī pālkī hogī
zamīñ se āsmāñ tak raushnī hī raushnī hogī
mirī guḌiyā jab apne ghar se ruḳhsat ho ke jā.egī
mirī guḌiyā kisī din chāñd par shādī rachā.egī
nazar aa.egī jab us ko mirī pyārī sī ye guḌiyā
balā.eñ par balā.eñ legī baḌh kar chāñd kī buḌhiyā
dulhan ko dekh kar dūlhe kī qismat jagmagā.egī
mirī guḌiyā kisī din chāñd par shādī rachā.egī
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi
zamin ke to sabhi guDDe nazar aate hain ab buDDhe
bahut hi KHubsurat naujawan hain chand ke guDDe
unhin mein se kisi ke ghar meri guDiya bhi jaegi
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi
farishte aasmanon se baraati ban ke aaenge
sitare raste mein nur ki chadar bichhaenge
KHushi se jhum kar har hur shahnai bajaegi
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi
hasin kirnon se raushan chandni ki palki hogi
zamin se aasman tak raushni hi raushni hogi
meri guDiya jab apne ghar se ruKHsat ho ke jaegi
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi
nazar aaegi jab us ko meri pyari si ye guDiya
balaen par balaen legi baDh kar chand ki buDhiya
dulhan ko dekh kar dulhe ki qismat jagmagaegi
meri guDiya kisi din chand par shadi rachaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.