gul-dan
Interesting Fact
(Auraq, Lahore, March-April, 1973)
sāl-hā-sāl bayābān-e-gumāñ ko sīñchā
ḳhūn-e-idrāk se āb-e-jāñ se
tab kahīñ us meñ huvaidā hue afkār ke phuul
phuul jin ko mire beTe tirī farhat ke liye
shīsha-e-rūh ke gul-dāñ meñ sajā laayā huuñ
aur chupke se ye gul-dāñ maiñ ne
rakh diyā hai tirī paḌhne kī na.ī mez pe yuuñ
jaise is mez kī takmīl thī us kī muhtāj
aur samajhtā huuñ ki in phūloñ kī nādīda hasīñ ḳhushbū se
tere kamre kī har ik chiiz mahak uTThī hai
kaun jaane ki mirī soch mire zo.am kī gul-kārī ho
fikr kī sho.abada-bāzī ho tasavvur kī talabgārī ho
aur tū siiTī bajātā huā kamre meñ ho dāḳhil to tujhe
ajnabī baas kā karb
yak-ba-yak saañs ke rukne kī aziyyat se ham-āġhosh kare
aur jhuñjhlā ke tū gul-dāñ ko darīche se pare
pheñk de jāda-e-sañgīñ kī taraf
pas-e-dīvār khaḌā
maiñ sunūñ TūTte gul-dāñ kī sadā
aur mire kāñpte hoñToñ se uThe
tere ehsās kī barnā.ī ke be-Tok panapne kī duā
sal-ha-sal bayaban-e-guman ko sincha
KHun-e-idrak se aab-e-jaan se
tab kahin us mein huwaida hue afkar ke phul
phul jin ko mere beTe teri farhat ke liye
shisha-e-ruh ke gul-dan mein saja laya hun
aur chupke se ye gul-dan main ne
rakh diya hai teri paDhne ki nai mez pe yun
jaise is mez ki takmil thi us ki muhtaj
aur samajhta hun ki in phulon ki nadida hasin KHushbu se
tere kamre ki har ek chiz mahak uTThi hai
kaun jaane ki meri soch mere zoam ki gul-kari ho
fikr ki shoabada-bazi ho tasawwur ki talabgari ho
aur tu siTi bajata hua kamre mein ho daKHil to tujhe
ajnabi bas ka karb
yak-ba-yak sans ke rukne ki aziyyat se ham-aghosh kare
aur jhunjhla ke tu gul-dan ko dariche se pare
phenk de jada-e-sangin ki taraf
pas-e-diwar khaDa
main sunun TuTte gul-dan ki sada
aur mere kanpte honTon se uThe
tere ehsas ki barnai ke be-Tok panapne ki dua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.