gul-e-daudi
almārī meñ paḌe bartanoñ ke saath
ek atiya-dān
jo sadqe ke sukūñ se bharā paḌā hai
aaj is meñ chand sikke
aur Daal diye jā.eñge
taaki balā.eñ duur raheñ
lekin balāoñ ko duur rakhnā
itnā āsān kaise hai
ma.alūm nahīñ
kyā andar kī balāoñ se
chhuTkārā paane kī
koī aisī āsān tadbīr
bhī maujūd hai
shāyad gōgle karnā paḌe
magar maiñ aaj ujlat meñ
ye garm juice kā gilās hī
halq meñ uñDelūñgī aur
gum-shuda añgūThī ko
phir se DhūñDne kī
koshish nahīñ karūñgī
kyūñki vo mujhe
be dhyānī meñ
shīsha ghūrte hue
usī shelf par paḌī milegī
jahāñ ek purānā tōthbrush
aur TuuTī hoī
kañghī rakkhī hai
almari mein paDe bartanon ke sath
ek atiya-dan
jo sadqe ke sukun se bhara paDa hai
aaj is mein chand sikke
aur Dal diye jaenge
taki balaen dur rahen
lekin balaon ko dur rakhna
itna aasan kaise hai
malum nahin
kya andar ki balaon se
chhuTkara pane ki
koi aisi aasan tadbir
bhi maujud hai
shayad google karna paDe
magar main aaj ujlat mein
ye garm juice ka gilas hi
halq mein unDelungi aur
gum-shuda anguThi ko
phir se DhunDne ki
koshish nahin karungi
kyunki wo mujhe
be dhyani mein
shisha ghurte hue
usi shelf par paDi milegi
jahan ek purana toothbrush
aur TuTi hoi
kanghi rakkhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.