gul-e-tar
ai gul-e-tar kis qadar dilkash hai nazzāra tirā
hāmil-e-husn-e-azal hai qalb-e-sī-pāra tirā
pattī pattī meñ tirī pesh-e-nigāh-e-ārifāñ
le rahā hai ik jahān-e-rang-o-bū añgḌā.iyāñ
faash terī diid se hai chashm-e-bīnā par ye raaz
jalva-gar hai ā.īne ke bhes meñ ā.īna-sāz
farsh ke rangīñ sahīfe gulshan-e-fānī ke phuul
jāñ-fazā hai arsh-e-dil par ye tirī shān-e-nuzūl
lekin is duniyā meñ husn-e-chand-roza kā ma.aal
baḌh rahā hai terī jānib le ke paiġhām-e-zavāl
muntashir hoñge ye aurāq-e-kitāb-e-rang-o-bū
chaak kar degī ḳhizāñ āḳhir naqāb-e-rang-o-bū
zeb-e-sar kar ke tujhe armāñ nikālā jā.egā
paañv ke nīche phir ik din rauñd Daalā jā.egā
ai gul-e-tar kis qadar dilkash hai nazzara tera
hamil-e-husn-e-azal hai qalb-e-si-para tera
patti patti mein teri pesh-e-nigah-e-arifan
le raha hai ek jahan-e-rang-o-bu angDaiyan
fash teri did se hai chashm-e-bina par ye raaz
jalwa-gar hai aaine ke bhes mein aaina-saz
farsh ke rangin sahife gulshan-e-fani ke phul
jaan-faza hai arsh-e-dil par ye teri shan-e-nuzul
lekin is duniya mein husn-e-chand-roza ka maal
baDh raha hai teri jaanib le ke paigham-e-zawal
muntashir honge ye auraq-e-kitab-e-rang-o-bu
chaak kar degi KHizan aaKHir naqab-e-rang-o-bu
zeb-e-sar kar ke tujhe arman nikala jaega
panw ke niche phir ek din raund Dala jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.