gul-farosh
ye nāznīñ ki jise qāsid-e-bahār kaheñ
javāñ hasīna ki fitrat kā shāhkār kahīñ
payām-e-āmad-e-fasl-e-bahār detī hai
junūñ-nasīb diloñ kī duā.eñ letī hai
ise chaman ke har ik phuul se mohabbat hai
ise bahār kī ra.anā.iyoñ se ulfat hai
guloñ meñ phirtī hai yuuñ jaise tītarī koī
chaman kī sair kare yā hasīñ parī koī
jo phuul chunte hue naġhme gungunātī hai
ye shāyad apnī javānī ke giit gaatī hai
shabāb ne jo ise tamkanat sikhā dī hai
ġharīb hī sahī phūloñ kī shāhzādī hai
jahān vāloñ kā husn-e-sulūk dekhā hai
ise zamāne kī be-rahmiyoñ se shikva hai
guzar rahe haiñ shab-o-roz kitne bhārī se
shabāb kaaT rahī hai hazār ḳhvārī se
ḳhudī kā dars hai afsāna-e-hayāt is kā
javāb paidā karegī na kā.enāt is kā
ise zamāne kī nairañgiyoñ kā hosh nahīñ
mirī nazar meñ ye devī hai gul-farosh nahīñ
sitam-zarīfī-e-fitrat ko aaj sharmā.ūñ
jo haar gūñdhe haiñ aaj usī ko pahnā.ūñ
ye naznin ki jise qasid-e-bahaar kahen
jawan hasina ki fitrat ka shahkar kahin
payam-e-amad-e-fasl-e-bahaar deti hai
junun-nasib dilon ki duaen leti hai
ise chaman ke har ek phul se mohabbat hai
ise bahaar ki ranaiyon se ulfat hai
gulon mein phirti hai yun jaise titari koi
chaman ki sair kare ya hasin pari koi
jo phul chunte hue naghme gungunati hai
ye shayad apni jawani ke git gati hai
shabab ne jo ise tamkanat sikha di hai
gharib hi sahi phulon ki shahzadi hai
jahan walon ka husn-e-suluk dekha hai
ise zamane ki be-rahmiyon se shikwa hai
guzar rahe hain shab-o-roz kitne bhaari se
shabab kaT rahi hai hazar KHwari se
KHudi ka dars hai afsana-e-hayat is ka
jawab paida karegi na kaenat is ka
ise zamane ki nairangiyon ka hosh nahin
meri nazar mein ye dewi hai gul-farosh nahin
sitam-zarifi-e-fitrat ko aaj sharmaun
jo haar gundhe hain aaj usi ko pahnaun
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 1052)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.