gulab-ba-kaf
bahār kī ye dil-āvez shaam
jis kī taraf
qadam uThā.e haiñ maiñ ne
ki us se haath milā.ūñ
aur ik shagufta shanāsā.ī kī binā rakkhūñ
phir apnī ḳhāna-badoshī kī mushtarak lai par
use gulāb-ba-kaf ḳhema-e-junūñ tak lā.ūñ
kuchh us kī ḳhair ḳhabar pūchhūñ
aur kuchh apnī kahūñ
kahūñ ki kitne hī patjhaḌ ke mausam aa.e ga.e
magar in āñkhoñ kī sahr-ul-bayāniyāñ na ga.iiñ
kahūñ ki garche anāsir ne tohmateñ bāñdhīñ
junūñ zadoñ kī magar saḳht-jāniyāñ na ga.iiñ
kahūñ ki ek haiñ andeshe sab mire tere
kahūñ alag nahīñ jiine ke Dhab mire tere
kahūñ ki ek se haiñ roz-o-shab mire tere
kahūñ ki milte haiñ nām-o-nasab mire tere
kahūñ azal se junūñ kārobār apnā hai
hazār jabr ho kuchh iḳhtiyār apnā hai
bahaar ki ye dil-awez sham
jis ki taraf
qadam uThae hain main ne
ki us se hath milaun
aur ek shagufta shanasai ki bina rakkhun
phir apni KHana-badoshi ki mushtarak lai par
use gulab-ba-kaf KHema-e-junun tak laun
kuchh us ki KHair KHabar puchhun
aur kuchh apni kahun
kahun ki kitne hi patjhaD ke mausam aae gae
magar in aankhon ki sahr-ul-bayaniyan na gain
kahun ki garche anasir ne tohmaten bandhin
junun zadon ki magar saKHt-jaaniyan na gain
kahun ki ek hain andeshe sab mere tere
kahun alag nahin jine ke Dhab mere tere
kahun ki ek se hain roz-o-shab mere tere
kahun ki milte hain nam-o-nasab mere tere
kahun azal se junun karobar apna hai
hazar jabr ho kuchh iKHtiyar apna hai
- Book : pushtara (Pg. 42)
- Author : shaheen
- Publication : a shamala publication canada (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.