aaj saare chaman meñ mātam hai
maut ne husn is kā luuTā hai
jaañ chaman kī thī tāzgī jis kī
shāḳh se vo gulāb TuuTā hai
us ke dam se thī saarī ra.anā.ī
is chaman kā shabāb thā 'nehrū'
ḳhud bahāreñ nisār thiiñ jis par
vo shagufta gulāb thā nehru
us se kitnā thā pyaar logoñ ko
is kasauTī pe ab parakhnā hai
us ne ādarsh jo diyā thā hameñ
sāmne us ko sab ke rakhnā hai
aaj sare chaman mein matam hai
maut ne husn is ka luTa hai
jaan chaman ki thi tazgi jis ki
shaKH se wo gulab TuTa hai
us ke dam se thi sari ranai
is chaman ka shabab tha 'nehru'
KHud bahaaren nisar thin jis par
wo shagufta gulab tha nehru
us se kitna tha pyar logon ko
is kasauTi pe ab parakhna hai
us ne aadarsh jo diya tha hamein
samne us ko sab ke rakhna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.