gulabi chonch
gulābī choñch meñ kiiḌe liye uḌtī hai gaurayyā
jidhar ik āshiyāñ meñ us ke bachchoñ ne abhī āñkheñ nahīñ kholīñ
magar haiñ bhuuk se be-kal
machhere sub.h kī dhuñdlī ridāoñ meñ
purāne chhapparoñ kī kokh se shānoñ pe rakh kar jaal nikle haiñ
vahīñ par khāñste haiñ chand mehnat-kash alaao ke kināre bīḌiyāñ pī kar
falak-paimā imārat ke liye mazdūr patthar toḌte haiñ munhamik ho kar
sahar kī surma.ī dhuñdlī ridāoñ meñ
maiñ gahrī soch meñ gum huuñ
saf-e-dānish-varāñ kyā in se bartar hai?
gulabi chonch mein kiDe liye uDti hai gaurayya
jidhar ek aashiyan mein us ke bachchon ne abhi aankhen nahin kholin
magar hain bhuk se be-kal
machhere subh ki dhundli ridaon mein
purane chhapparon ki kokh se shanon pe rakh kar jal nikle hain
wahin par khanste hain chand mehnat-kash alao ke kinare biDiyan pi kar
falak-paima imarat ke liye mazdur patthar toDte hain munhamik ho kar
sahar ki surmai dhundli ridaon mein
main gahri soch mein gum hun
saf-e-danish-waran kya in se bartar hai?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.