ghulam
ġhulāmoñ meñ itnī basīrat kahāñ thī
ki vo apne ḳhvāboñ kī ta.abīr bhī dekhte
vo to ḳhvāboñ kī pahlī chamak se hī andhe hue the
aur andhoñ ke hāthoñ meñ aaya nizām-e-taġhayyur
to har chiiz kī asl hī ham se gum ho ga.ī
koī tartīb baaqī nahīñ hai
nizām-e-jahāñ TūTtā hai
jo āshiyāñ meñ ik rabt thā
vo bhī gum ho chukā hai
magar koī aisā nahīñ hai
jo andhoñ ko āñkheñ dilā de
ghulamon mein itni basirat kahan thi
ki wo apne KHwabon ki tabir bhi dekhte
wo to KHwabon ki pahli chamak se hi andhe hue the
aur andhon ke hathon mein aaya nizam-e-taghayyur
to har chiz ki asl hi hum se gum ho gai
koi tartib baqi nahin hai
nizam-e-jahan TuTta hai
jo aashiyan mein ek rabt tha
wo bhi gum ho chuka hai
magar koi aisa nahin hai
jo andhon ko aankhen dila de
- Book : رنگ سا اڑتا ہے (Pg. 91)
- Author : اشفاق عامر
- Publication : عکاس پبلی کیشنز،اسلام آباد
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.