guldasta
merī ḳhātir jo tū guldasta-e-tar laayā hai
āshiq-e-zār ġharīboñ kā jigar laayā hai
aah nā-karda-gunah ġhuncha ko barbād kiyā
toḌā ġhunche ko to bulbul ko bhī nāshād kiyā
vaa.e bedardī ki ġhuncha se vatan chhūT gayā
khoyā ġhunche ko to bulbul kā bhī dil TuuT gayā
le ke guldasta tire rū-ba-rū gar aaya maiñ
terī zīnat ko ye guldasta nahīñ laayā maiñ
māh-rū taḳhtoñ meñ gul husn pe itrātā thā
aur ḳhātir meñ hasīnoñ ko nahīñ laatā thā
nāzish-e-husn ke mujrim ko pakaḌ laayā huuñ
pesh karne ko tire gul ko jakaḌ laayā huuñ
meri KHatir jo tu guldasta-e-tar laya hai
aashiq-e-zar gharibon ka jigar laya hai
aah na-karda-gunah ghuncha ko barbaad kiya
toDa ghunche ko to bulbul ko bhi nashad kiya
wae bedardi ki ghuncha se watan chhuT gaya
khoya ghunche ko to bulbul ka bhi dil TuT gaya
le ke guldasta tere ru-ba-ru gar aaya main
teri zinat ko ye guldasta nahin laya main
mah-ru taKHton mein gul husn pe itraata tha
aur KHatir mein hasinon ko nahin lata tha
nazish-e-husn ke mujrim ko pakaD laya hun
pesh karne ko tere gul ko jakaD laya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.