gulha-e-aqidat
yaum-e-āzādī ne yuuñ chhiḌkā fazāoñ meñ gulāl
gulsitāñ se bhīnī bhīnī ḳhushbueñ aane lagīñ
titliyāñ apne paroñ par pā ke qaabū har taraf
sehn-e-gulshan kī ravish par raqs farmāne lagīñ
qumriyāñ mīThe suroñ ke saaz le kar aa ga.iiñ
bulbuleñ mil-jul ke āzādī ke gun gaane lagīñ
gul se apnī nisbat-e-derīna kī khā kar qasam
ahl-e-dil ko ishq ke andāz samjhāne lagīñ
sub.h-dam bād-e-sabā kī shoḳhiyāñ kaam aa ga.iiñ
lāla-o-gul ko baġhal-gīrī kā mauqa mil gayā
dekh kar is dostī ke pur-fazā māhaul ko
saarī kaliyāñ hañs paḌīñ saarā gulistāñ khil gayā
lekin is din ke liye ai ham-nashīno dosto
kaisī kaisī be-bahā qurbāniyāñ denā paḌīñ
ḳhūn-e-dil denā paḌā ḳhūn-e-jigar denā paḌā
apne ḳhvāboñ kī hasīñ parchhā.iyāñ denā paḌīñ
aarzū meñ terī ai gul-posh shahzādī na pūchh
kaise ālam-tāb sardāroñ ke sar jaate rahe
sarzamīn-e-hind ko jannat banāne ke liye
kaise kaise dast-o-bāzū ke shajar jaate rahe
ḳhair ab ham mutma.in yuuñ haiñ ki jān-e-ārzū
ham ne kuchh kho bhī diyā hai aur kuchh paayā bhī hai
kaise kaise aql ko de kar dilāse jān-e-jāñ
ruuh ko taskīn dī hai dil ko samjhāyā bhī hai
ab yahī koshish hai dil se ai mirī arz-e-vatan
terī peshānī pe ab koī shikan aane na paa.e
tū ne pahnī hai jo āzādī kī maalā shauq se
umr-bhar koī kalī bhī is kī murjhāne na paa.e
apne gulhā-e-aqīdat pesh kartī huuñ tujhe
muḳhtasar ye hai mohabbat pesh kartī huuñ tujhe
yaum-e-azadi ne yun chhiDka fazaon mein gulal
gulsitan se bhini bhini KHushbuen aane lagin
titliyan apne paron par pa ke qabu har taraf
sehn-e-gulshan ki rawish par raqs farmane lagin
qumriyan miThe suron ke saz le kar aa gain
bulbulen mil-jul ke aazadi ke gun gane lagin
gul se apni nisbat-e-derina ki kha kar qasam
ahl-e-dil ko ishq ke andaz samjhane lagin
subh-dam baad-e-saba ki shoKHiyan kaam aa gain
lala-o-gul ko baghal-giri ka mauqa mil gaya
dekh kar is dosti ke pur-faza mahaul ko
sari kaliyan hans paDin sara gulistan khil gaya
lekin is din ke liye ai ham-nashino dosto
kaisi kaisi be-baha qurbaniyan dena paDin
KHun-e-dil dena paDa KHun-e-jigar dena paDa
apne KHwabon ki hasin parchhaiyan dena paDin
aarzu mein teri ai gul-posh shahzadi na puchh
kaise aalam-tab sardaron ke sar jate rahe
sarzamin-e-hind ko jannat banane ke liye
kaise kaise dast-o-bazu ke shajar jate rahe
KHair ab hum mutmain yun hain ki jaan-e-arzu
hum ne kuchh kho bhi diya hai aur kuchh paya bhi hai
kaise kaise aql ko de kar dilase jaan-e-jaan
ruh ko taskin di hai dil ko samjhaya bhi hai
ab yahi koshish hai dil se ai meri arz-e-watan
teri peshani pe ab koi shikan aane na pae
tu ne pahni hai jo aazadi ki mala shauq se
umr-bhar koi kali bhi is ki murjhane na pae
apne gulha-e-aqidat pesh karti hun tujhe
muKHtasar ye hai mohabbat pesh karti hun tujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.